Mutafarriqaat

Parrots rakhna

Q: Maine puchna tha k maine ghar mai green parrots rakhein hain 4 hain wo meri sister bolti hai k tum inko azaad kardo in tooty ki waja se humaray ghar mai bandish hai bohat se kam ruky huey hain.. Mere tootay azaad rehty hain ghar mai or wo mere se adjust hain mujhe unse bohat piyar hai mai kese azaad kardu? maine kahi pay parha tha k azaad parinday paal saktay hain is surat mai k apky pass khana peeny ka bandobast ho unka ab ap mujhe bataein mai kese azaad kardu mera dil nahi manta

Dry fruits, cakes, biscuits, waghairah khaana

Q: Kia Allah or Rasool (Sallallahu Alayhi Wasallam) ku bhook ke ilawa kuch mazeed khana ya or lazzate jesy phal ya dry fruits waghera na pasand hn jesay khana ke bad meetha khana chai k sath kuch khana jesay biscuits waghera khana or bakeries waghera ye sab dunayavi lazzaat hn kia in sab par sawal ho ga kia ye Allah or rasool ko napasand he? Mujhe bakeries bohat pasand hn mera roz dil chahta he chai ke sath biscuits khanay ko magar ye soch ke nahi khati k jo neik or mutaqi log hotay hn wo sirf bhook mitanay ke liye sada si ghiza khatay hn ye sab nahi khatay shayed Allah or rasool ko napasand ha or is sab par hisab ho ga ap meri rahnumai farmaye ke ma kia karun?