Talaaq

Showhar owr biwi ke darmiyaan laraai

Q: Mere shohar ne mjhe apne kuch rishtedaro k talluk se door rakha or hmesha kaha k inse tmhara talluk nhn.. Par jb mne ladae me ye bat unse kahi k mera ap k un rishtedarun se talluk nhn tu unhu ne agay se kaha k tumhara unse talluk nhn tu phr mjhse b nhn talluk... Uske bd mene pocha k kya mtlb tu agay se gussa kya or chup hojane ko kaha... Mere papa mjhe uske foran bd lene aye tu shohar ne rok dya k men shohar hun ye meri ijazat k bagair kahi nhn jasakti.... Phr men kahin nhn gyi... Mufti shb kya humara talluk kaem ha ya is se khuda na khuasta talak tu nhn hoti... Meri madad farmaye...

Nikaah ke ba'd talaaq se mahr waajib hoga?

Q: Arz ye he k mere sister ki shadi ko 2 years k arsa hone wala he or us k or us k shohar k darmyan izdiwaji talluqat qaim nahe howe hen jis ki waja shohar ki medical fitness he or tamam ghar walo ka zulm or ziadti he. Meharbani farma kr jald az jald written me fatwa arsaal karden. Mere 3 sawal he

1. Shohar talaq k waqt haq mehar dene ka pabnd he?

2. Doran iddat shohar naan nafqa de ga?

3. Shohar kehta he k me na haq me her do ga na naan nafqa. Is k baare me kia hukum he?

"I am leaving you" se talaaq?

Q: Mera sawal yeh hai k mri shadi ko 3 saal hone ko aye hai or shru k saal ma main or mre shohar bht arguments krty thy wo bht ziada short tempered hain..aik br arguments ma main me unhe kaha k ab hm sath nahi reh skty ap 3 lafz bol k decide kr len..mre or un k mind ma sirf yahi concept th k jb tk mard 3 bar saf saf talaq ka lafz ni bol de talaq ni hti talaq bain or kinaya lafzon ka koi co cept kabh tha he ni or unhe ne mjhe sirf threaten krne k lie unintentionaly kaha k i m.leaving you..jb k un ki niyat bh ni th divore ki or n mri niyat th divorce lene ki...or na he hamare ilm ma ye bt th..to Allah tala to bhol chok ma.hue gunahon ko maaf krne ka kehta h to la ilmi ma kie gaye is gunah ki kia haisiat ha? Aik or argument ma main ne dobara yahi kaha k ap 3 lafz bol den unho ne kuch ni kaha even talaq ka "t" bh ni kaha or mjhe darane k lie kaha k 'main ne bol dia' jb k unho ne na dil ma aisa bola na mun se kaha or na un ki niyat ma tha aisa sovchna or bolna...te sb jo kuch bh hua lailmi ma.hua na he niyaten tha na he donu k ilm ma....plz hamari rehnumai farmaiye...

Biwi ko talaaq dena

Q: Pichle bohat saalon se bhai bhabhi ke larai jhgre se sab pareshan hain do bache baligh hain do.bache na baligh haichar bache hain larai ke baad sulah ho jati thi lekin pichle do daal se bhai ki haalat bohat ghusse or ishteaal si ho gai thi biwi bachon ko adhi raat ko ghar se nilna marna peetna or biwi per shak kerna shuru kerdiya tha dona neend bhi nahi aati thi isi aalam mai 25saal ki shadi ke baad biwi ko talaq or bachon ko ghar se nikal diya kisi ne pagal pan kah kisi ne kale jadu ka asar bataya. Boahat ilaj kerwayarohani bhi or nafsiyati bhi roya bohat or kaha mai biwi ko wapis lana chahta hoon fatwa talaq ka mil gaya to doosri shadi krli.ab bhi haalsahi nahi hai bache pareshan hain dil pareshan hain .koi hal bataen jo dushman se nijat mil jar.

Na farmaan biwi se kya kare?

Q: Agar koi aurat bht zaban ki taiz ho apny shohar ki izzat na krti ho her waqt shikwa krti ho kbhi ALLAH ka shukar ada na krti ho. apni zimaydarion ko sahi sy na nibah rhi ho or ghussay mn kufar kalmat bhi bolti ho k mn ap ko shohar hi nhi manti. to aisi aurat ko talaq dena chahye ? sharyat aisi auratk bary kia hukam deti hy ?

Rukhsati se pehle talaaq dena

Q: Me ny apni wife ko aik talak di ha rhuksati sy pahly. But main question ye ha k me nikah waly din us sth batha usko ring pahnaie after nikah sub k samny aur pher 3 month tk wife k sth video chatting krta raha ho. But hum ny mubhashrat nae ki just video per dakha ha. ye bt uski family aur meri family ko patha ti. To kia iss condition me ruju me ker skta ho yia nae...

Talaaq ka waswasa

Q: Mera masla ye hai k mri shadi ko 3 saal ho gye hain or shru shru ma hm donu ma bht misunderstandngs th...mre shohr bht garam dimag k.malil hain or kahin mrtaba jhagron k waqt ma ne apne shohr se kaha tha k agr ap mj se itna pareshan hain to mkhe talaq de den jb k mri niyat un se lene ki nahi th...hm donu he is bt se gafil thy k aisa ni kr a chaiye hm donu ki nazar ma sirf yahi tha k jb tk shohar mun se saf saf teen br na bol de talak ni hti mre sawal pr mere shohr ne han thk h kaha tha lekin niyatan ni kaha tha or hm aksar he lrty thy or aksar aise bt hti th pr kb unho ne han kaha kis niyat se kaha..ktni br kaha ye hm donu ni janty q k hame andaza he ni tha k han khne se b aisa kch hta h...ye sb lailma ma.hua or Allah tala to raheem haon la ilmi ma kie gaye is gunah ko maaf ni kren ge?hm donu ne 4 din phle nikah e tajdeed bh kr lia h or ai da k lie toba bh..lkn ab hm aik dosre k lie halal to hain na qk hm donu he ni janty ktni br hua kia hua

"Talaaq day daita hun" se talaaq

Q: I had some argument with my husband during which I forced him to leave me and he uttered the words "ok me day daita hun talaaq"(ok I give you divorce)". He said all these words three times. He didnt say me daita hun he said day daita hun. We had intercourse on the same day early morning. Now I want to know whether this divorce pronounced three times has been implicated or not. Do we have the right to reunite or not?