Talaaq

Dil me talaaq dena

Q:

1. Mera sawal hai ki kisi shaks ne agar sirf dil mein hi socha ki maine apni biwi ko talaq de di hai to kya talaq ho jayegi?

2. Ya phir usne akele mein zuban se kaha aur waha koi maujood nhi to kya in dono surat mein talaq ho jayegi?

Talaaq ke b'ad iddat

Q: Mere ek dost ka call aya tha usko kuch masail paish aaye he jo wo puch ne se kuch sharm mehsus kar raha he is waja se usne muje kuch bate puchi he jiske bare me wo ap se kuch rehbari chahta he...

Us ladke ne ap ni biwi ko talaq de di he... Uske sawalat ye he ap se guzarish he ke iske bare me kuch rehbari farmayein.

1. Talaaq ki waja se biwi ki iddat kitne din ki hogi?

2. Ladki ko kahi salon se haiz (mahwari) nahi aa rahi to kya iski waja se iddet ke time me koi farq aa sakta he?

3. Ladke ne talaq se pehle 3 month tak ladki se suhbat nahi ki to kya isse iddet ke dino me kuch farq aa sakta he?

Showhar biwi ku "talaaq dunga" kehna

Q: Sir kuch confusion he clear kar den. Last week phone per mrs se kafi jhagra hua phir bv ne state demand ki k mujy talaaq dy do jis per mene usko jvab diy bht dafa k ab tum mery qabil ni ri tlaq dun ga abi ni but dun ga zrur in short k tlaq dun ga ye words mery munh se kafi martba use hua ghussy main but tlaaq deny ki neeyat na kal thi na aj hy but usky demaand karny pe mene kaha k dun ga tlaq tum mery qabil ni ho ab shakl mat dikhana mujy ab or dafa ho jao etc please better rehnumai karen.

Nikaah me shart lagaana

س: نکاح دو فریقین کہ درمیان معاہدہ ہوتا ہے اس میں اگر ایک فریق نکاح کہ کچھ عرصہ بعد اپنی جانب سے مزید کوئی شرط رکھے یا کوئی وعدہ کرے اور کہے کہ اگر ایسا نہ ہوا تو نکاح ختم ہو جائیگا تو کیا ایسا ہو جاتا ہے جب کہ دوسرے فریق کو علم بھی نہ ہو

Teen talaaq

Q: Do din qabal mene apni wife ko apne ghar walo ke kehne par gysay mai teen talaaq whatsapp par voice message se bhaiji thi jo ke usne mukalmal nai suni aur pehli talaq sunany ke bad message close kar diya tha albata us ke walid ne suni thi bad mai. To kiya teeno talaq nafiz hongi ke nai. Dosra ye k mene phir next din court mai ja kar 1st, 2nd Aur 3rd talaq stamp paper par type karwa kar apne sign aur angoothy ka nishan laga kar ghar aa gaya magar abhi take Usko bazariya daak Post Nai kiya. Ab mujhe meri wife ne contact kiya Aur kaha k 1 sath 3 dafa talaq dene se Shari lehaz se 1 talaq hi mani jati hai. Aur mujhse maafi bhi mangi Aur ruju ka kaha Aur mai bhi ab yehi chahta hu. Please islah farmaiye.

Ambiguous words of talaaq

Q: Meri wife apni maan k ghar thi or mujh se thora naraz bhe. es se pehle thori larai hoi thi or wife ne meri maan se kaha tha k mai es k sath ab nhi rehna chahti. phr mai ne wife ko phone per mana'nay ki koshish ki tu us ne attend nahi kia. phir mai ne usay emotional sms bhejnay shuru ker diye jis ka us ne koi reply nhi kia. mai ne sms ma likha k agar tum mere sath nahi rehna chahti to tmhari marzi alag honay k baad tum ye kaam ker lena woo kaam ker lena, apna ID card change kerwa len (matlab mere surname wala). kia es tarha ki future mai batain krnay se to talaq ni hoti.

Halaala

Q: Mera sawaal hai ke halaala nikah mein humbistari karne ke 10 minute baad biwi ko ek sath teen talaaq de de to kya talaq ho jayegi?