Khwaab ki ta'beer
Q: Meri zindagi fitny ke dor ki si hy subah main musalman hon tu raat ko kafir. Main bht farigh rehti hon tu tabhi ye hal hy, bht tauba karti hon duain wazefy b. Jo mahool mery ghar ka hy waha reh k mujhy pagal hi hojana tha lykin bht bardasht di hy Allah ny mujhy, ek chota bhai ghar chor k ja chuka hy shaheed hogaya hy ek bhai zehni mazor hy walden ko kisi ki tarbiyat ki koi parwah nhi, 13 behan bhai hain. main 28 ki hon, khobsorat m phill hon, mery halya teen rishty aye hain, 2 ghair aur ek rishtadar ka, main ny ye dua kar k istakhara kia k jo mery haq my behtar ho wo mujhy khuwab my Allah pak dikha dy, mery pas larky ko janchny ka koi zarya nhi Allah k siwa. Pehly hi din khuwab my daikha k. Main Karachi university my apny inhi cousin k jinazy my jarehi hon jo k 2 talba tanzeem k takrao my shaheed hogaye hain, waha pohachti hon bht hujom hy building k andar jahan namaz parhny ki jaga hy wahan mera shaheed bhai b jinazy my shirkat karny aya hoa hy, bht khush khush gungunata hoa ghoom raha hy " na main hon kisi aur ka na mera koi aur hy' Main us sy milny k liye kosish karti hon lykin larko ki maujodgi k ba.is nhi milti. Itny my pata chalta hy k meri walda b jinazy my shirkat k liye arehi hain main unko rasta guide karny k liye university k main gate tk jati hon wo ek choti car drive kar k arehi hain, main beth jati hon uni k andar rasty my 2 larky lift mangty hain wo b beth jaty hain, meri walda bht kharab driving kar rehi hain har speed breaker py car bht oncha uchal rehi hy k wo dono larky accident ky khof sy utar k bhag jaty hain. Bas itna khuwab daikha hy meri walda ko driving nhi aati hy aur ye khuwab daikh k jab uthi tu bht khush thi shahadat k bad pehli bar apny choty bhai ko kisi khuwab my daikha hy aur wo b
bht khush. Tabeer bta dain.