Tahaarat

Wudhu ke ba'd masnoon dua

Q: Wudu aur namaz ke baad bohat saray zikar bayan kiye jate hain aur un ki bohat fazilat batai jati hay alag alag kitaabo me, kia humein wo zikar karne chahiye? Aur agar wo zikar sahih hadith mein na ho to kia wo bidat hounge, aur bidat ki sahih tareef bhe bata dein?

Ma'zoor

Q: Meri pareshaani ye he ke mera wudhu baar baar toot jata he. Kabhi aysa bhi hota he ke me wudhu kar rahi hoti hon or toot jata he. Me ne parha tha ke agar aysa masla ho tu ayk baar wudhu kar ke namaz parh le. Meri aadat he sobah fajar ke baad me quran parhti hon or ishraq parhti hon. Agr me ne fajar se pehlay wudhu kia or fajar ki namaaz parhi or os hu wudhu se quran bhi parh liya or ishraq bhi tu kiya ye theek he ya mujhay teeno ibadaton ke liye alag alag wudhu krna chahiye?