Qur'an paak ki qasam ka towrna
Q: Mujhe ayk masla puchna tha wo ye ke mai ne Quran e paak ki qasam khae the ke aik kaam nahe karun ga aur wo kaam mujh se ho gya galti se, mai bohot paraishan hun btaeye ke mai kia karun?
Q: Mujhe ayk masla puchna tha wo ye ke mai ne Quran e paak ki qasam khae the ke aik kaam nahe karun ga aur wo kaam mujh se ho gya galti se, mai bohot paraishan hun btaeye ke mai kia karun?
Q: Mujhe ye poochna ha ka Allah sa kia hoa wada torna ka kia kaffara ho ga?
Q: Kisi larki ko 15 years pahle kisi ne kaha ke qasam khao khuda ki, quran ki, apne maa baap ki ke kisi ko nahi bataogi. Wo ye qasam abhi tak nibhaa rahi hai, and nibhaegi. But abhi uss ko pata chala hai k allah k siwa kisi ki qasam khaanaa shirk hai. Uss ko pahle ye knowledge nahi thhi. Ab uss ko buhut guilt hai and wo sochti hai k khudaa mujhe maaf nahi karega. Meherbaani ker k ye bataein k kia sahi hai and kia ghalat hai? kia uss ki maaf hai?
Q: Maine quran pe hath rakh ke kai bar qasam khayi aur wo qasam mujhse tot gayi hai. Mujhe yad bhi nahi hai ki maine kitni bar qasam tori hai. Magar main ab kaffara ada karna chahta hoon. To maine ye socha hai ki main 1 kaffara 1 mahine me ada karronga kya main aisa kar sakta hoon. Aur kya mujhe ek sath sare kaffare ada karne hoge. Mujhe yaad nahi phir bhi maine andaza lagaya hai ki main 10 kaffara ada karronga. Please mujhe zarror batiye ki kya main aisa kar sakta hoon ki nahi. Mujhe pata hai ki kaffra kya hota hai. 10 logo ko do waqt ka khana khilana hai magar main ye poochna chahta hoon kya aisa hai ki jin logo ko din ka khana khilaya hai unhi logo ko raat ka khana khilaya jaye. Aur kya alag alag log wo sakte hai matlab din me alag 10 log aur raat me alag 10 log.
Q: Maine kai bar quran pe hath rakh ke kasam khayi thi ki main jyada nahi sochonga nahi. Actually me sir mujhe depreesion hai is wajah se main bahut soochta hoon ki future me kya hoga aur meri tabiyat kharab ho jata hai aur mujhe neend bhi nahi aati hai aur mera ilaj bhi chal raha hai doctor se magar phir bhi main soochne lagta hoon maine kai martaba aisa kiya hai aur quran ki kasam mujhse tot gayi hai kya mujhe kaffra dena hoga aur mujhe har kasam ka kaffara dena hoga please mujhe bata dijiye main bahut pareshan hoon aur mujhe kuch samajh me nahi aa raha hai.