Ghar waalo ku gheebat owr chugli se rowkna

Q: Mera ayk sawaal hai ki hamare ghar mein kisi ki ghibat karna kisi ki choghli karna aur dosre ghar walaon ko bora bhalai kehna ye sab hamare ghar mein aam baad hai. Kya ise rookna ghalat hai main jabbhi in chizaon se rookta hon to mere waaleda sab bhaiyon ke nazar mein gira detin hain. Kya main ghalat hon kya ye mera rook na meri walidain ki izzat na karne mein shamil hai? Aur mere chote bhai aur mere bade bhai kehte hain ki main ghalat hon aur kehte hain ki main apne apko accha banne ka diqawa karta hon. Aur ek baat hai hamare ghar waalon ka ek whatsapp group hai osmein main Hadithe aur darse qoran ayatein sent karta hon kya ye bori baat hai kya ek Imaan wala simpati hasil karneke liye ye sab karsakta hai? Mufti sahab meri ek adat hai ghar pe kuch ghalat hota hai to main jhat se moon pe bool deta hon ye Jo aap log karre wo ghalat hai ,shayad ye adat meri walidain ko Bori lagti hai. Aap rai dijiye k main kya karon, dosre bhai log waalidain se kitna bhi badtameezy se baat karo wo mere waalidain ko bora nahi lagta, aur main koch bora hone se rokon to muje apni nazron muje gira dete hain. Meri badtameezi nazar aati hai apko. Allah azwajal behtar jaanta hai.

A: Aap unko rokte rahe. Bara thawaab ka kaam he. Makaan me kisee bahaane se ta`leem ko shuroo karalo aur Qur'aan Shareef ki tilawat subuh aur shaam karo.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)