Teen talaaq

Q: Muje meri bhen k bare mai aapse puchna tha ki uske aur uske husband k bech boht bada jagda huva ph pe aur meri bhen ne use bola ki talaq 3 bar lekin jiju chup bethe kuch nai bola fer didi ne maafi mangi aur sulah ki fer dusre din di aur jiju gabra gaye ki kuch huva tou nai fer sham ko kisi bande se jiju puch rahe the ise baat hai jiju ne 6 bar talaq lafaz bola magar dusre ko aise ki (us ne bola talaq talaq talaq) fer 5 min k bad dubara (ki maine usko bola dil se bolrahe ho usne bola haa talaq talaq talaq) didi ph pe sunrahe thi jab vo baat ki wazahat karahe the ise nikkah pe koi asar tou nai hota nikkah durusat hai....Jiju ka talaq dene ka koi intention nai tha bs jo hova vahi baat kisi aur ko batarahe the didi me fer pucha b jiju se usne bola nai maine aisa kuch nai bola

A: Agar uska iraadah biwi ko talaaq dene ka tha to teen talaaq waaqi hogaye aur ab biwi uske liye hamesha keliye haraam he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)