Tijaarat aur us ke mutalliq masaail

Qardh kwa ne milna

Q: Aap sa aik question hey key ke ksi auto walay k kuch raqam jo k uss k klehnay p k mery pas exchange ni hy paisay ka to app muje sham ma jahan sa app aaty ho ma roz wahy hotta ho auto ma kharra ap wahan de dye ga agly din sham ma wo auto wala ni hutta iss trah kuch months guzar gye but wo auto wala ni kharra dekhta na after noon ma ... ab humara b us area sa guzar ni hutta hay but uss auto walay k kuch paisay jo ussy denay thy wo ni de sakay ... na hy ussy ksi tareqay talsah kia ja skta kionky koi contact b ni ab app btaye k uss ka raqam jo ussy deny thy wo kesy dye jaye ... k uss ko deye baghair hye uss ki raqam adaa ho jaye jesy uss k eawazz koi sadqa ya kafara k surat ma adda ho jye uss k raqam.

Qardhe lene me ihtiyaat baratna

Q: Mera aapsay aik sawal he ke me ne puchna tha udhar ka baray ma jaisay ka kuch udhar aam tor pa hum bhol jatay haan ar lain dain ma itna masroof ho jatay haan ka kisi ka dayna walay paisay kafi arsa pehle jo hum log bhol jatay haan. Is ke baray ma kya ho sakta he? Aur aagr kafi talash ke bawajood wo ya uska lawaikeen nai milte to is surat ma kya ho sakta jaisa ka udhar ka baray ma ha ka insan jab tk udhar nai day ga uska nama amal agay nahin chal pay ga qabar ma.

IT team customer ku ujrat ke upar dena

Q: Mene apni IT team ek mere customer ko de di he, wo team uske liye kaam karti he aur unko salary bhi wo hi deta he lekin wo hame har mahine fix amount deta he kyun ki hamne usko puri team usko de di he to is tarah karna durust he? Secondly wo har mahine fix amount as administration fees deta he kyuki filhal uski team hamari office se kam karti he kya ye deal sahi he?

Website par ads lagane se paisa kamaan

Q: Mera sawal hai kya me website se se earning kar sakta hun. Woh website Information daine ki ho gi logon ko like Wikipedia or Us website pe ads bhi chale ge lekin woh saaf ads hon ge haram nahi hon ge. Earning es tarha se ho ge agar koi mera dost meri website ko view kare ga or us ads pe click kare ga to us se mujhe earning ho gi or woh ads ke Paise or amount different hai fix ne hai.

Youtube se paisa kamaana

Q: Muje yeh puchna hai ke kya me youtube se money earn kar sakta hun. Money earn karne ke leye muje do chezain required hai, ayk video or dusra ad. Google adsence youtube pe free me video ke sath ads provide karta hai. Men youtube pe apni kuch videos upload ki. Aap log us ko view karte hain or video ke sath ad bhi chalta hai to woh video daikhne wale pe depend krta ha ke wo ads pe clcik kre ya naa kare. Ap picture me daikh sakte hain. Youtube or Google 2 alag company hain per money earn krne ke leye dono k zarort parti hai 2 btain yeh k pe jo ad chale ga woh meri marzi se chale ga koi fahas ads ne chale ga ap picture me daikh sakte hain en ads ko me control kr sakta hun jes ad ko me allow krn ga to chale ka or jes ko block krn ga to woh band ho jae ga en ads ki amount different hai or yeh auto pe change hoti rehti hai. Ab youtube pakistan me band hai qu ke us pe ghustakhana mawod para hai to me kya aise co mpany ke sath busniess kar sakta hun jo ghustaki krne wale k sath deme kaam. 2. Agar yahi kaam me apni website ya blog pe krn ap pic me daikh sakte hain k blog yeh hai left hand side pe jo hai woh ads hainto kya me es tarha kaam kr k money earn kr sakta hun or kya me apne dost ko bol sakta hun k woh mere leye es blog ko view kare or kisi b ads pe clcik kre.