Tijaarat aur us ke mutalliq masaail

Ek juwa scheme

س: کیا 100 روپے انعامی اسکیم کے لے سکتے ہیں جبکے انعامات زیادہ کے مثلال ممبر 10 کی رقم بنی 1000 جبکے انعامات 5000 کے جس میں راشن یا پھر ضروریآ ت کا سامان دے سکتے ہیں

Restaurant ke kaam karne wale restaurant ke khana khana

Q: Me five hotel me kaam karta hu. Waha staff ke liye cafeteria he aur me ek cook hu alag restaurant me. To me khana apne restaurant me bana kar kha leta hu cafeteria me nahi jata kyun ke hume time nahi milta busy rahte he. Phir hume waha khana mana he phir bhi hum kha lete he phir humara jo in charge he wo hume mana nahi karta waha khane he uski ijaazat se hum waha kha lete he to kiya ye saheeh he aur wo khana kha khate he jo bach jata he baad me.

Bank se qardh lena

Q: Kiya me bank se loan le sakta hu apni wife ko Dubai me rakhne ke liye kyu ke 5 saal ho gayi aur hamara koi bacha nahi he kyun ke hum waqt saath nahi guzaar sake aur bank se loan interest par hi milta he. Family life shuroo karna bhi zaroori he aur bank se loan laina haraam he. Is surat me kiya kar sakta hu?

Eik qism ka beemah

Q: Aik company he jiska name Moalij Prepaid Health Care Scheme he. Ye idaarah health par kam karta he. Matlab agar koi elaaj karwana chahta he to usse is idaare se register hona pare ga jiski fee 700 he. Ye registration sirf 1 month ki he. Agar isi month koi bemaar hota he ya accident hota he to jisne registration karwai he wo is idaare se contact karega aur ye idaara jitny bhi expense ho gi elaaj ke duran chahe wo accident ka case ho bill adaa kare ga.

Is idaare ke different hospital se contact he. Elaaj bhi sirf unhi hospital se karwana he. Ye sirf 1 month tak hai. Agar kisi ne fee jamaa karwai aur wo bemaar na huwa to fee wapis nahi ho gi. Ye process he. Ya phir koi pehle se bemaar he wo is idaare sy 1 month ke liye register ho ke 1 month tak elaaj karwa sakta he. Elaaj ke duran sab kuch medicine, doctor ki fee, rent sab kuch idaara hi bill de ga. Kiya is tarah ki marketing job karna jaiz he?