Chacha dada ki zameen par qabza lena

Q: Mere dada ki zameen thi kuch saal pehle unhone kisiko free mai istemal karne ko di thi kyuki wo garib tha baad mai mere dada ne usse wo zamin mangi to usne mana kar dia jiske baad dada ne uspe court case kar dia.

Dada ki himmat jab tutne lagi to case to dada ne case ka zimmedar mere chacha ko bana dia. Dada ke inteqal ke baad mere chacha apne sab bhai behno se dhoke se no objection paper pe signature karwa liye jisse ki agar mere chacha case jit jate to sari zamin chacha ki hoti. Case chalta raha or us zamin ki kuch jagah par mere chacha ka kabza hai baki zamin pe uska kabza hai jo dusri party case ladh rahi hai.

Ab dusri party case jit gai hai or mere chacha or us dusri party ke bich samjhota ho raha hai ki is zamin pe building banegi or kuch hissa mere chacha or kuch dusri party legi. Is fesle pe mere chacha ki behne satisfied hai.. Mera sawal ye hai ki kya qayamat ke din or is dunya mai bhi mere walid ka hissa hai ya nahi?

A: Dada ki jaaidad ya zameen me aapke waalid ka hissa zaroor he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)