Mutafarriqaat

Qanoon ke khilaaf nahi karna chahia

Q: Ayk Islami bhai Saudi Airport me kam karte hai jub woh India wapas aate hai to kuch aisa bhi saman saath late hai jinme woh bhi saman hota hai jisko saudi air port per passenger ko plane me le janese rok diya jaata hai. Ziyada wajan hone ki wajah se kaya aisa saman me se agar woh mujhe kuch tohfatan deta hai to kya woh lena jaiz he? Aur kya aise saman ko airport se lena ous islami bhai ke liye jayaj hai?

Gym me ghaana chalaana

Q: Mere gym owner ne ye masla apse pochne kelye kaha hai. Wo bodybuilding gym own krte hn jiska hissa me bi hn. To waha ladkon ki farmaish pe cd player bi hai jisme daily jbtak gym me boys hote hn songs chalte rete hn except azan n namaz timings. So mere gym owner ne pocha hai kia ye songs jb chalte hn to wo bi wahn hote hn for guidance but wo songs pe dhyan nai dete balke zikar me dhyan rakte hn mostly apna tasbeeh padte hn hath me to kia ye songs chalne n sunne ka gunah n azab unko bi milega or wo ye gunah aelanya karae hn jise ladke sunte hn unke through to kia wo bi gunahgar honge. Please Quran, Hadees and shariat se jawab dijie.

Insurance

Q: Meri car ka accident hua picche se dusri car ne mara to mene insurance claim kiya meri insurance company ne muje kuch paise diye kya us paise ka istemal karna mere liye jaiz he?

Jism ke baal nikaalna

Q: Mujhe ye janna tha ke kya Islam me jism k Baal (hairs) nikalna jayez hai jaise k hands legs aur body ke, agar haan to , jab hairs nikal diye jaye aur janabate ghusul kiya jaye to kya wo jayez hoga? Meri nayi shadi hui hai aur mere husband ko ye pasand nahi k mere body par hairs hain. To kya mai shave karke hair removal karsakti hu aur kya mera ghusul jayez hoga?

Waraasat

Q: Sawaal ye he ke ayk aadmi ke wurasaa me (1-beti) (1-biwi) (4-bhai) (2-behne)he, uski wirasat ki taqseem kese hugi? Har waris ka kitna hissa huga?

Billi ghar me marna

Q: Harare ghar mai Billi (cat) bahot ate jate aur rehte bhi hain. par masla ye hai ke billi bache bhi hamare ghar mai dhale thi hai. Is sai mujja kohi takleef nahi hai par Billi ki bacha hamare ghar Mar bhi jate hain. Kya ghar mai Billi ke Marne SE kuch hota kya. hum nahi Mar the par Mar ja Tai hain. Is ke masla dey tu maherbani.

Dowst apne saamne nahaate huwe doopna

Q: Hum teen dowsto ne 25 July ko programme banaya k aik party karain js k liye hm ne khane ki cheezen lin, aur hm 3no aik jaga peer kandh chakwal mn gae. Hum ne wahan khana khaya aur phr nahane pani mn chale gae. mera question yeh hai k mera aik dost nahate hue doob gya kiu k hmen pta ni tha k wahan panni gehra hai. pehle tou wo mujhe dikhai ni dia but aik dafa dikhai dia chand lamho k liye panni mn dooba hua but dobara dikhai ni diya. hm dono czn b thay aur bht ache gehre dost b. Mujhe terna nai ata tha mn ne madad k liye aik admi ko bulaya jis ko bulane mn mujhe 1-2 min lag gae. Ab ap mujhe yeh btaen k mere dil mn bht bojh hai k mn ne chalang kiu ni lagai. Mera wo dost ALLAH pak ko piyara hogya. kindly yeh bta dain k is mn meri galiti kia hai islam k point of view se? ap k jawab ka intezaar rahe ga.