Naseehat

Wasaawis

Q: Mera swal ya ha mein wehum or weswassy ki mreez hun weswasa any pa mary munh sa allah ka bary ma nauzbillah gali nukul gayi asa muj sa 2 bar hua 1 bar shadi sa pahlay or 1 bar shadi ka bad or muj sa ya gulti bhi hui k mein kehny lagi thi allah pak or raheem ha or shatan ko gali dany lagi thi lakin mary munh sa oult nikul gaya yany jo allah ko kehna tha wo shatan ko or jo shatan ko kehna tha allah ko keh diya ya ab sa 16 sall pehlay ki bat ha ab mein na suna ha k asy kufrya kulmat sa eman or nikah fased ho jata ha mera allah or rasool pak per pukhta yakeen ha mein nmaz rozy tusbeh darood shreef kusrut sa perhti hun mujy ab ya bimary bhi ho gayi ha jo allah or rasool pak ka bary mein gult weswasa aya tha mein na zaban sa bhi keh diya ha mujy kuch sumj nahi ati asul hakikat kia ha k mein na asa kha ha k nahior ager mein namaz perh ka bethi hun yuk dum khial ata ha mein na namaz nahi perhi to mujy bulkul yad nahi ata k mein namaz perhi ha ka ni esi terha or kamo mein asa huta ha or asay wehum deen ka kamon ma huty hein kabhi khial ata ha umry pay gayi thi to gusul wajib tha mein na gusul nahi kia tha or huj par gayi thi to mein napak thi or mein isy napaky mein huj kia tha mein saudia mein rehty hon allah ki rehmut sa akcur umry ka moka mel jata ha lakin wehum weswasy pryshan rukhty hain huj mein na 12 sall pehly kia tha lakin wesway ab aty hain es terha muj sa pehly jo 2 gultian houny thi on ka bary mein mary zehun mein tha k shatan ko gali dany lagi thi lakin gulti sa allah ka bary nauzbillah gali nikul gayi lakin ab mujy shatan weswsa dalta ha k shatan ko kehny wali bat tum na apny pass sa bnai ha bulkay tum na jan boujh ka asa kaha tha kabhi weswsa dalta ha tumhra arada asa kehny ka tha or kabhi weswsa dalta ha tumhra arada nauzbillah kufer ka tha yany her weket nay nay weswsay aty hain or mujy kuch sumj nahi ata k asal mein muj sa kasy gultian huni meray dil mein kubhi kufer ka khial nahi aya mera allah or rssol per pukhta yaqeen ha in wesawes sa mera dil allah ki taruf or ragib hota ha mein pak saf zingi guzana chahti hon lakin mery dil mein wehum bath gaya ha k in 3 gultioun or wesawes sa mera eman or nikah to fased nahi ho gaya ya gultian muj sa 16 saal pehly huni thi lakin in ka bary mein weswasy ab ana shuro huy hein jub sa mein na kufrya kulmat ka bary mein perha ha ka asy eman or nikha fased ho jata ha werna es sa pehlay mein mutmaeen thi jub muj sa gultian hui thi mein na ro ro ker allah sa mafi mangi thi lakin ab ya wehum tung ker raha ha k ager mera eman or nikah fased ho gaya hua to mein kitny gunah gar hon or ya 16 sall mein na gunah mein guzary ager mera nikah fased ho gaya tha or jo mein na huj umray kiay hain on ka kia ho ga ager khudanakhasta mera eman fesed ho gaya tha mein es time buhut tention mein hon her wrket dil odas or bachan rehta ha koi khoshi mehsos nahi hti apny nikah ot eman ki tention rehty ha please mujy mery eman or nikha ka bary mein tufseel sa jwab dain k mujy tasuli ho jay allah ap ko jazay kher da.....plz answer dey dein...

Mu'awwazatain parhna

Q: Mairy wife ko teen din se fever hai. Usko jagte me gunudgi me aisa lag raha hai jaise yeh palang par laite hain aur charon taraf white kapron log in par hans rahai nain. Yeh jagte me mahsoos hota hai. Koi dua btayen aur kya wajah haiyeh bhi batai Jazakallah khair.

Nikaah me pareshaani

Q: Main bohat saloon say iss zahni kashmakash main hun kuch samaj nahi aata yeh hamari dosri shadi hai husband meray kuch cheezoon main tu theek hain namaz parhtay aur Jo main chahti thee magar un ke har waqt shak karna bachoon tak Kay mamlay main shak kartay hain Kay main un ka khayal nahi rakhti muj say overall rude rahtay hain maheenoo hoqooq e zojeyat ka pata nahi hota dosroon Kay saath bht achi tarhan rahtay hain.hamray room tak separate hain kisee larahi kee waja say nahi buss aisay hi akelay rah rah kar main pehlay kisee ko pasand kartI thee us kee yaad aati hai meri iss shadi ko 10 saal ho rahay hain us nay ab tak shaadi nahi kee Kay ab kisee say shadi nahi karoon ga us ka apnay aap ko iss tarhan pareshan Karna muj ko tension dayta hai.us kee yeh fikar nahi nikalti main kia karoon?jab Kay main us ko sochna nahi chahti main us say khabi nahi mili bus net per baat thee jab kaha rishta laaoo tu woh nahi aaya main nay apnay parents kee marzi say shaadi karli mera kia qusoor?

Bad-dua

Q: Agar ki ke walid ne apne bete ko bad-dua di hu, aur kaha ho ke baap ki bad-dua wapis nahi aati. Aur uska beta shadeed bemar hogaya ho. Tu kya walid ke mar jaane (dead) ke baad bad-dua ka asar khattam hojata hay?

Shaadi me pareshaani

Q: Meri shaadi hokey 6 saal hogaya aur mujhe 2 bache hai shadi hone ke bad mere saas aur sasur mere se bohat batsuluki se pesh aare the har din kuch na kuch taane baate sunate aur mere shohar ku mere khilaf sikhana jisse mere shohar mujhse ladte the unke baaton me aakey shuru se mere saas sasur jo bhi bolte woh sunke mere shohar mujhse ladte rehte hai. Shaadi ke ek mahina rehne ke baad mere shohar dubai chale gaye uske baad har din mere sasur raat me Nashe ki halath me mujhe ghar chodke jaane ke liye kehte aur mere maa baap ku bura bhala kehte mahine me 4 din maikey jane ki ijzat dete the aur mujhpe ye ilzaam lagate the ki woh 4 din mera talluk koi ghair aadmi se hai mera affair hai koi aur se isliye maikey jati bolte. Phir mere shohar kabhi kuch nhi bolte apne maa baap se. Mere sasur mera affair mere chichere bhai se hai bole mamu se hai bole chicha se hai bole itne ilzaam sunke bhi mai bardash kari aur mere shohar kuch nhi bole itna sunke. Saas bhi yehi bolte the ki tum ye ghar me rahe toh mujhe pasand nhi aata. Ramzan ki pehli eid thi meri shadi ke baad us din bhi mere saas lade aur meri izat aburu ku gindiye aur mujhe dhamki diye ki mere khilaf unke bete ku bhatkake talaq dene lagate. mai kuch nhi bolti unku phaltha ke sirf suni khamoshi se. ek saal tak mai mere maa baap ku kuch nhi boli is zulm ke bareme jab hadh se zyada hogaya toh boli phr mere maa baap mere shohar se baat kare aur mere shohar ki raza mandi se mujhe maikey me rakhe. Sise hi 2 saal guzar gaye mujhe na alag rakhe na apne saat rakhe mere shohar saal bhar me ek mahine ki chutti pe aatey the par mere saat nhi rehte jab unke maa baap bolte mere paas jane ke liye toh mere ghar aatey nhi toh nhi aatey. 2 saal baad mujhe ladki hui har waqt mere saas sasur mujhe kuch na kuch ghair ghalat bolke ghar se nikal diye aaj 6 saal hogaya ab mujhe bacha hua dusra 4 mahine ka hai mere shohar sikawat me aatey aur mujhse dur hojate aajtak mujhe insaaf nhi mila ladayi hui meri aur mere shohar ki India aaye the uno aur ladke uno mere paas nhi aaye baat nhi karey manane ki bohat koshish kari mai par uno mujhe baghair bole baghair mile mere aur bachon se dubai chale gaye. ab mujhe phr unke ghar jao bolre aur unke maa baap kuch bhi bolo sunke raho bolre aur bolre ki biwi bache unki zimmedari nhi hai unke sirf maa baap hi hai bolre. aur mujhe mere shohar ke pairon me girke raho bolre. agar mai unke ghar jakey nhi rahi toh mera aur mere bachon ka haq nhi detey bolre ab mai kya karu itni zillat ke baad mai phr kaise jaon unke ghar jabke unke maa baap ka mujhpe koi haq nhi. mujhe kuch rasta dikhaye molana sahab mujhe kya karna chahiye boliye.

Larki ke bare larke se khush nahi

Q: Mei kisi se 5 year se bahut piyar karti ho wo bhi bahut karte he. Wo mere mamu ka beta he. Mamu ki taraf se 2 baar rishta bhi aya tha but jab hamare ghar wale agree nahi hoa but ab mamu ko paralise ho gaya hai and mumani ko mei bilkul nahi pasand. Mumani uski shadi kahi aur kara rahi hai hum dono bahut piyar karte he hamne ishtekara bhi karaya hai wo bhi bahut acha aya hai. Aap mufti sahab koi wazifa bataiye jisse mumani ke dil me ajai.