Tahaarat

Napaak jaga ku dhowna

Q: Agar koi shakhs najasat ke haalt me ho chahe wo ihtilaam ya musht zani ki wajh se ho aur us ne napaak kapra pehna ho is haalat me us se paseena aaye ya kapre par paani ghir jaaye kya wo shakhs poore kapre ko dole jo paseena ya paani ki wajh se tar huwa he ya sirf wo napaak jaga jaha pe maani laga huwa he?

Mazi nikalne se kya ghusal waajib hota he?

Q: Me ye poochna chahti hun ke jab main kacchi neend me hoti hun to mujhe jinsi manzar dikhne lagte he lekin mujhe us waqt itna hosh hota he ke mujhe mani khaarij nahi huwi he aur na hi makhsoos jaga me ihsaas, dill ki dharkan bhi tez nahi hoti to kya ye ihtilaam hoga jabke me uss waqt poori tarah soyi nahi hoti lekin thori mazi khaarij hoti he. To kya mujhe ghusal karna hoga?

Napaaki ka shubah

Q: Agar ghusal karte waqt naajis kapra baazu me rakha ho aur usme paak paani lag kar apne pair ke neeche waale hisse pr lag gayi aur hum wahi pair bahar nikal kar zameen pr rakhenge aur kapde waale poche par pair rakhenge toh kya jaha jaha wo pair parega wo jagah napaak hojayegi aur us poche waale kapre me hum pair poch kar bistar me jayenge toh kya wo bistar bhi napaak hojayega?

Bool se asar ki namaaz beghair ghusal se parhna

Q: Me soyi huwi thi to mujhe jinsi khwaab aya meri aankh khul gayi lekin mein ne geelapan mahsoos nahi kya aur dobaara so gayi jab dobaara meri aankh khuli to me ne geelapan mahsoos kya mujhe khwaab yad nahi tha me is geelepan ko mamool ka discharge sumjhi kyoonke me safed dischaarj ki mareez hu to me ne is ko mamool ka discharge sumjate huwe asr ki namaaz ada kar li lekin jase hi me namaaz se faarig huwi mujhe khwaab yad aa gaya baqi ki namaze mein ne ghusal ker ke ada ki. Mujhe bataye jo me ne baghair ghusal namaaz adaa ki us se mujhe gunaah to nahi ho ga aur us ka asar mere Imaan aur nikaah par to nahi ho ga aur us ka kuffaara kya he?

Ihtilaam

Q: Mera sawaal he ke me soyi huwi thi to mujay jinsi khwaab aaya meri aankh khul gayi lekin me ne rutoobat mahsoos nahi ki aur dobaara so gayi jab dobaara meri aankh khuli to me ne rutoobat mahsoos ki mujay khwaab yaad nahi tha. Me is rutoobat ko mamool ka discharj samjhi kyunke me safed dischaarj ki mareez hu to me ne is ko mamool ka discharj sumajte huwe asr ki namaaz ada kar lekin jaise hi me namaz se faarig huwi muje khwaab yaad aagaya baqi ki namaze me ne ghusal kar ke ada ki. Baraaye meherbaani mujay bataye jo me ne baghair ghusal namaaz adaa ki is se muje gunaah to nahi ho ga aur is ka asr mere imaan owr nikaah par to nahi ho ga aur is ka kuffaara kya he. Allah aap ko jaza-e-khair de.