Tahaarat

Sote waqt discharge dekhna

Q: Jab sote he to hume koi khwaab aajaye to uske liye ghusal karna chahiye. Jab hum sone ke liye aanke band karti he tab thori thori neend aani shuroo hoti he tab hum poori tarah soye huwe nahi hote aise me agar khuch ghalat cheeze ya manzar dikhne laga to kya ye ihtilam hoga jabke us doraan hamaara dimaag jaaga hota he hume ye pata hota he ke sharmgaah me koi harkat nahi ho rahi aur nahi dil ki dharkan tez he jo ke ihtilaam ki ya mazi me khaarij hone ki nishaani he. Aisa sirf neend ki shuruaat me hota he jab kachchi neend hoti he lekin dimaag ko pata hota he ke jism me koi harkat nahi ho rahi he jaise mani ya mazi khaarij hone par hota he. Mujhe issi wajah se har roz ghusal karna parta he kyunke mujhe aam towar par hone wala safed discharge bhi hota hai.

Ihtilaam

Q: Jab so kar uthi hu toh mujhe koi khwaab yaad nahi hota phir har roz aisa lagta he ke mujhe ihtilaam huwa he jab ke mujhe koi khwaab yaad nahi hota bas yahi yaad hota he ke sote waqt mai apne aap se kehti hun ke kahin ihtilaam to nahi huwa he kyunke sote waqt mujhe kuch ghalat cheezen dikhti he lekin ye yaad nahi rehta ke ye khwaab tha ya nahi aisa ziyaadatar roz hi hota he. Jo khwaab yaad rehta he wo ihtilam waala nahi hota.

Plaster par masah karna

Q: Agar haath ke haddi tootne ki wajah se plaster ya koi patti bandhi ho to is haalat me ghusle janaabat hosakta he ya nahi? Kyunke jis hisse par patti baandhi huwi he wo hissa ghusal ke dauraan sookha (dry) reh jaega jabke ghusal me laazim he ke baal baraabar bhi hissa sookhi na rahe.

Aurat ka ihtilaam ko dekhna

Q: Kis qism ke khwaab ko ihitilaam kehte he? Matlab mere dimaag me ye baat beyt gayi he ke mujhe galat khwaab aayega hi aur jaise hi me sone ke liye lettihu tabhi mujhe ghalat cheeze dikhne lagti he lekin me us waqt poori tarah soyi huwi nahi hoti balke aisa neend ki shuruaat me hota he bas dimaag me yahi chalta he ke kahi ihtilaam toh nahi he shayed ye sirf khiyaal he kyunke me poori tarah soyi huwi nahi hoti. Baraaye meherbaani mujhe bataaye me kya karun is wajah se me safed discharge ko mazi samjh kar har rowz ghusal karti hu.