Tahaarat

Mazi owr mani me farq

Q:

1. Mai aap se poochna chahti hun ke ihtilaam ki wajah se agar mani khaarij ho jaye toh kya wo kapre par qatre ki tarh dikhti he?

2. Subah uthne par mujhe koi khwaab yaad nahi tha aur naahi koi geelapan aur kapre par koi nishaan bhi nahi tha lekin dhiyaan se dekhne par ayk chota raai ke baraabar nishaan mila jo ke samjh nahi aaya ke kis ka nishaan he ya pir kapre ka dhowya huwa koi nishaan he? Itni choti se cheez ke liye mujhe ghusal karna para?

Mustamal paani ke cheenten

Q:

Wudhu or ghusal karte waqt paani ma cheenten parjaye to kiya us paani se wudhu nahi hota? Agar nahi to kia kiya jaye jab tak wudhu aur ghusal khatam na ho ihtiyaat ke bawajood bhi cheenten parte rehte he kitni dafa banda us paani ko baha ke paak karay? Kuch btaaye.

Namaaz me hansi ko roktay huwe moo band rakhe or moo me hi thori si awaaz paida ho hansi dabate huwe to bhi namaaz tot jaye gi?

Ma'zoor

Q: Mere sath kabhi kabhi masla hota he reeh khaarij hoti rehti he namaaz ke waqt kia karna chahiye? Agar intizaar karti hu to waqt nikal jaata he aur agar parhti hu to wudhu tootne ka khadsha hota he.

Mani aur mazi me shubah

Q:

1. Me ye poochna chahti hu ke jab me so kar uthti hu tab koi geelapan nahi hota lekin me apne kapro ko dhiyaan se check karti hu tab mujhe kapre ke color print bhi mani ke daag jaise lagte he aur samjh me nahi aata ke ye mani he ya nahi. Kabhi aisa lagta he ke daag he kabhi lagta he ke nahi he. Baraaye meherbaani bataye ke in shak ke beech me namaaz kaise adaa karsakti hu?

2. Agar hasb-e-dustoor discharge ka daag ek dirham se kam ho to usse saaf karna zaroori he?

Peshab ke qataraat

Q: Mera sawaal ye he ke kabhi kabhi sharamgaah me se qatre nikalte he kabhi mujhe mahsoos hota he tu me us jaga matlab us kapre ko saaf kar leta hu aur kabhi kabhi nahi pata lagta aur namaaz par leta ho me to jaana chata ho kya qatre nikalne ki wajah se ghusal karna chahiye is ke baare me islam me kya kya he. Baraaye meherbaani mujhe bata dien.