Tahaarat

Mani owr mazi

Q:

1) Me poochna chahti hu ke mazi ke sookhne ke baad uska nishaan rehjaata he agar mazi kapre par sookh jaaye to kaise pata chalega ke kahaan se kapra dhowna he?

2) Agar kapre peele rang ke pehne ho to mani ka kaise pata chalega kyunke auwrat ki mazi peeli si hoti he?

3) So kar uthne par mujhe discharge bhi mani ki tarah lagta he mere dimaag me hamesha har roz shak hi rehta hai.

4) Jhapki lene par agar koi ghalat khiyaal aajai to ghusal fardh hoga?

5) Mujhe bohat neend aati he us wajah neend ki jhapkiyan lagti rehti he to mujhe baar baar ye shak hota he ke kahin me soyi to nahi thi aur mujhe ihtilaam to nahi hua he. Is wajah se mujhe kai baar ghusal krna parta he.

Wudhu aur ghusal

Q: Agar aap ne sahi se kulli ki ho magar aap ko ghusal ke bad pata chala ke daant me kuch reh gaya he to kiya ghusal ho jayega? Agar wuzu ghusal me hatho me paani le kar baazoo pe bahaaya jaye aur poore baazu par saath hi hath pher kar pani mal liya jay aiysa teen baar karne se wuzu ho jaye ga ya isi tarah moon pe bhi? Agar namaz me sans ki awaz (haa) or dard se (see) ki awaz nikle to namaz ho jaye gi? Agar haidh khatam hone ka ayk din bad ghusal ke waqt haidh ka asar saaf karne pe zara sa khoon zahir ho to us khaali din ki namaaz qaza karni ho gi?

Sunnat ke khilaaf masah karna

Q: Jab me wudhu karti hu to masah bhi is tarah karti hu ke koi baal bhi na rahe sar ke jab peechay se waapas agay pesahaani tak hath nahi laati kyunke istarah saare baal kharab hojate he is liye hatelion se kaan ke peeche sar ka hisa hota peshaani tak waha par masah karti hun. Aur kaano ka bhi agay peeche har ayk hissa ka sahi se masah karti hu aur gardan ki pusht ke kaano ke neeche tak or jahaan gardan khatam ho ti he poori ka ayk ayk baal ka masah karti hu na karu aysa to itminaan nahi ho isliye muje boht der lag jati he wudhu karne me 10 se 15 minute. Kiya bilkul isi tarha wudhu karna chahiye ke masah me bhi ayk baal khushk ne rahe. Agar koi asaan tareeqa he ke wudhu bhi kaamil ho to baraaye meherbaani bata dijiye. Muje bohat mushkil hoti he.

Kaan ka masah nahi karna

Q: Me kaan me baali is liye nahi pehnti ke wudhu me kaano ka sahi se masah karna hota he magar kaano ka masha to farz nahi he agar me us jaga masah na karo jahan baali ho to kiya wudhu ho jaye ga. Muje nuqsan ke baare me poochna he ak to wo hota he jis me hamara bilkul bhi bus nahi hota or aik aysa jis me hamari ghalti bhi shaamil hoti he. Kiya ye bhi Allah ki taraf se hota he? Kia is pe bhi hame ajar milay ga? Jab meri ghalti se koi nuqssan hota he to mujhe bohot ziyaada pareshaani hoti he. Baraaye meherbaani rehnumaai karen jis se muje itminaan mile me is baare me kiya imaani soch rakho jo Allah ke yaha maqbool ho? Muje ye bhi poochna he qismat me jo ho wo mil ke rehta he kuch lowg ye sowch ke wo bhi chor detay he jo un ko kowshish se mil sakta he jeyse koi kuch de raha ho agar ap us se mange to wo mil jaye ga nahi mangay to nahi mile ga kiya ye bhi qismat me he? Kuch log khuddaari or sharm jhijak ki wajah se nahi mangta or sochte he ke qismat me huwa to mil jayega kiya ye bhi qismat he. Baraaye meherbaani muje waazih towr par bataye or ayse mowqe par kiya karna chahiye. Khuddaari ka amal Allah ke nazdeek keysa he?

Maghribi baitul khala me khare hokar peshaab karna

Q: Me jaha par kaam karta hu, waha par Hindustaani baitul khala nahi he, Maghribi baitul khala he jis par ghusal karne se mera dil nahi maanta he. To agar me us par khare to peshaab kar lu aur phir agar khare to hi napaaki dhow lu ya paper istimaal kar lu to kya ye napaaki ke andar awoonga, ya napaak mana jaunga. Meherbaani karke bataiye aapki bari meherbaani hogi.