Tahaarat

Napaak kapray ko paak krtay waqt kya insan khud bhi napaak hojata he?

Q:

1. Mera sawaal hay ke paaki ki halat may kisi napak kapray ko paak kartay waqt insan kia khud bhi napaak hojata he? Yaad rahay us sorat par baat kar raha ho jab jinsi hisse say nikalne wala mani kapray par lagi hoi ho or aysay kapray ku dhona ho to?

2. Sotay waqt baz dafa koi ganda khwaab ajata hay jis ki waja say mani khaarij hojati hay. Aysa kia karo jis say yeh cheez na ho or sotay waqt napaaki ka shikaar na ho.

Wudhu ke baare me kuch sawaalaat

Q:

1. Agar kapron par wadhu kartay huwe wudhu ka tapkta qatre gir jaye to in hi kapron ke sath namaz parh len?

2. Agar aakhri rakat me wudhu tootnay wala ho to kiya tashhud ke bad koi chota durood parh ke salaam phair sakty he ya darood-e-Ibrahim hi parhna ho ga?

3. Agar ghalti se qiyaam me dono hath uth jayen to kia namaz toot jati he?

4. Agar sabar kartay kartay hansi nikal aye namaz toot jati he?

5. Agar dard ya kisi waja se ah oh wagher nikal jaye to bhi namaz toot jati he?

Napaak kapra baalti me dhowna

Q: Hamare ghar me kaam waali aake napaak aur paak kapre ko baalti me surf ka paani lekar ek sath baalti me duba kar bigo kar rakhti he, phir kapre ko baalti se nikal kar baalti ka paani phenk kar baalti ki tari me thora paani lekar baalti ko thora hila kar phenkti he, owr phir dosri baar baalti me paani lekar baalti me mug daalkar kapre ke opur paani daalke kapre ko ragar ragar kar dhoti he phir saare kapre ko baalti me phir se ek sath duba kar nichorleti he owr baalti ka saara paani nikaal deti he. Ab hamare kapre aur baalti mug paak he kya?

Neend se uthne ke ba'd rutoobat dekhna

Q:

1) Maine aapse sawaal kia tha ke jab soti hun tab mujhe neend mein uljan hoti he ke mujhe sirf khiyaal aaten he ya ye ihtilaam he. Aap ne jawaab mein ghusl karne ke liye kahaa tha toh mujhe ye poochna tha ke aisa mere sath taqreeban har roz hota he to kya roz ghusal karna hoga? Mujhe sone mein darr lagta hai ke ihtilaam na ho jaaye aur ghusl karna pare. Me is wajah se roz ghusal karti hun. Shaayad ye waswase ho sakte he kyunke agar koi chota sa bhi khayaal aajaye toh aisa lagta he ke khahin ihtilaam toh nahi ho gaya aur mai ghusl karleti hun. Baraaye meherbaani bataain ke me kya karu? Mujhe neend mein khiyaal aur khwaab ke beech farq hi pata nahi chalta. Pehle aisa nahi tha ye pareshaani mujhe takreeban kuch mahino se ho rahi he.

2) Doosra sawaal maine ye kia tha ke agar khwaab me kisi ghair maharm ko dehken aur tari mahsoos ho, to aapne jawaab me ghusal ke liye kahaa tha mujhe ye poochna he ke agar khwaab me koi shahwaani kaam ho hi na kya tab bhi ghusal karna hoga? Kyunke mujhe aam towr par apne paros ke lowg ya rishtidaar khwaab mein dikh jaaten he.

3) Khawaab me apne saath kisi kareebi rishtedaar ko aasmaan mein udte hue dekhna kaisa hai?