Mazi
Q: Agar mazi kam miqdaar me underwear par lag jaye to kya usko bhi dona zuroori hai?
Q: Agar mazi kam miqdaar me underwear par lag jaye to kya usko bhi dona zuroori hai?
Q: Kuch khiyalaat zehen me aagaya jiski wajah se kuch geela nikal gaya. Ab mujhe shak he ke wo mazi he ya mani. Mere upar ghusal wajib hogaya? Baraaye meherbaani bataden.
Q: Ihtilaam hone se me napaak ho gaya aur mere kapre bhi napaak ho gaye. Ab mera sawal ye he ke ghusal karne se pehle agar me apne hatho ko achi se dholu aur phir apne kapre dho dalu to kya hamare kapre paak ho jayenge ya phir ghusal karne ke baad kapro ko dhoya jaye tabhi kapre paak honge. Kehne ka matlab ghusal karne se pehle kapro ko dho sakte he. Ghusal karne se pehle kapre dho dale to kya wo paak ho jayenge ya nahi.
Q: Mujhe tahaarat ke usool bata dijiye takay main apne rozmarra ke or mamooli taharat ke masaail hal kar sakoon.
Q: Me cheeton ke maslay ke baare me jaanna chahta hu. Agar wudhu karte waqt wudhu ke paani ke cheentay badan par lage or wudhu ke paani me bhi wo cheentain jaye to kya karna chahiay? Agar napaak jaga se cheentay badan par lage or paani me jaye to kya krna chahiay? Agar napaak cheez ke cheentay badan par lage or paani main jaye to kya karna chahiay?
Q:
1- Kia ijtihaad har koi kar skta he ya ijtihaad sirf aalim hi kar sakta he?
2- Agar peshaab ke baad qatra aa jaye aur wo shalwaar par lag jaye to ab us me namaaz ho sakti he ya nahi?
3- Agar peshaab ke baad qatra aa jaye aur wo jism ke sath lug jae aur pata na chale ke kidar laga he to kiya hukam he? Ab nahana chahiye ya kia karna ho ga?
4- Agar peshaab ke bareek katra peshaab karte huwe kapron par lag jayen to un ka kiya hukam hey?
5- Mazi paak he ya napaak?
6- Agar banda raat ko apni biwi ke pass sota he to kapre par mazi ke nikalne ka andesha ho to kiya suba un kapron me namaaz ho jae gi?
7- Agar mazi jism ke kisi hisay ke sath lug jati he aur pata nahi chalta ke kidar lugi he to is soorat mein insaan kiya kare, naha le ya kiya kre?
Q: Agar daant ke undar me kuch cheeze atak rehta he toh farz ghusal karne ke liye kulli karne se ghusal ada hoga kya?
Q: Me ye poochna chahta hu ek baar mere bhatije (jo abhi lagbhag 10 mahine ka he) ne takht par peshaab kar diya aur uske baad meri behan ek kapra bhigo kar laayi aur unhone uspar hath pherkar pocha laga diya to kya aise takht paak ho jata he ya nahi. Ya uspar paani bahaana parega?
Q: Kya janaabat ki haalat me khana kha sakte hai?
Q: Agar ghair muslim ne koi bartan khane ke liye istimaal kiya tu usko teen bar achi tarah douh ke us mein khana kha sakte hai kya?