Mazi
Q: Kya mazi kapre par lagne se kapre ko dhowna zaroori hai?
Q: Kya mazi kapre par lagne se kapre ko dhowna zaroori hai?
Q: Fardh ghusal ke dauran sirf mun me paani lekar kulli karne se ghusal ada hojayega kya? Ya ghar-ghara karke kulli karna parega? Ghar-ghara karna bhi farz hai? Kya sirf kulli karne se chalega?
Q: Kya ghusal karte waqt sharamgaah ku chupaana zuroori hai? Ya bilkul nanga hoke ghusul kar sakte hai?
Q: Ghusal keliye hum jo wudhu karte he us me hum muh aur naak me paani lete he, kya wudhu ke bad bhi mu aur naak me pani alag se lena he ya wudhu wala hi kaafi hai?
Q: Kya bohot ziyaada mazi khaarij hone se ghusal hota hai?
Q: Kisi bache ne agar ghar ke paak jaga par peshaab kar deta hai to osku kaise paak karna parega?
Q: Me waswasa aur shukook se bohot pareshaan rehta hu muje hamesha wudhu aur ghusal ke baare me shak rehta he ke mene baraabar kiya hoga ya nahi. Shukook muje har amal karte waqt aur uske baad bhi aate rehte he to kya meri namaz, tawaaf, waghairah sahi honge ya phir se adaa karna parega. Baraaye meherbaani rehnumaai farmaaye.
Q: Jab bhi me istinjaa karta phir uske baad muje lagta hai ke kuch qatre nikalte he shayad mazi aur har dafa aise hota he istinja ke baad to wo kapre to paak rehte he na?
Q: Thori peshaab lagnewali kuch kapre ko kisine (kapre dhonewale) powder our thori paani ke sath kisi baalti me biga kar rakh diya. Phir aisa hua ke kapre ko bigane ke foran bad Jumma namaaz ke waqt ho gaya our dosri baalti bhi nahi hai gusal karne ke liye, our waqt bhi bohot kam hai. Toh os baalti se kapre ko nikaal kar aur undar ka pani daal kar, phir baalti ke tari me thori pani lekar pani ko hila kar peka gaya. Phir baalti me paani bhar kar thori pani beh jane dene se kya ye andaza lagaya ja sakta hai key baalti bhar jane ke bad jo pani baalti ke upar se beh gaya os paani ke sath najaasat chali gayi. Is tariqa ko istammal karne se kya baalti paak hojayega?
Q:
1. Mere saat pareshaani he ke peshaab karne ke bad mujhe qatre aate he. Pehle hi pareshaani thori thi ab ye pareshaani bohot ziyada ho gayi he. Muje bata di jiye kiya karoun?
2. Jab muje nahana hota he, to bohot dair ho jati hay. Peshaab karne ke bad bohot intizaar karna parta ke peshaab ke qatre ruk jaaye. Muje bata di jiye ke me kya karoun?