Tahaarat

Napaak kapre ku dhowna

Q: Me ye janna chahta hun key agar kisi kapre par thori si peshaab lag jaye toh us kapre ke poore hisse ko bigah kar ek baar nichorne se wo kapra paak ho jayega kya? Our is tareeqe ke kapre ko phenkar agar kisine ghusal karliya to ghusal karne ke bad jab kapra bigh jayega toh os kapre ko badal kar ek bar nichorne se paak hoga? Agar kisi kapre par ziyada peshaab lag jaye to os kapre ko bhi bigah kar ek bar nichorne se paak ho jayega? Jitna jaldi ho sake aap mera jawab dejeiga.

Wudhu ke liye paani ka intizaam karna

Q: Hum kal campfire ke lia thar (registaan) ja rahy he wahan pani nahi hoga to me namaz ka wuzu kesy karon ga tayammum karna pare ga? Owr sawal ye hai ke pakhana kharij kar ke maqad ki jaga ko kese saaf kya jaye ta ke namaaz aada ho sake owr hawa khaarij ho jae to kese paak hona hai? Barayemeherbaani tafseel me bataye. Sukriyah aur aaj hi bata dein qe kal hame jaana hai.

Mazi ki pareshaani

Q: Agar bar bar mazi zara ci bhi baat karne ya zara sa bhi khiyaal aane par aaye to kiya karna chahia? Agar is baat se chutkara pana mumkin nahi hoparaha ho to kiya karen, baraayemeherbaani rehbari farmaye.

Peshaab ke qataraat

Q:

1. Muje peshaab ke qatro ki takleef he. Lekin sirf namaaz ke waqt hi muje qatre aate he aur waqt me nahi aate. Toh kya me abhi mazoor hu?

2. Me namaz ke waqt tissue paper underwear me rakhta hu kya tissue paper chalega, kyu ke ghar se masjid jaate waqt chalte chalte tissue paper andar khisak jaate he, toh napaaki sharmgah ke kisi aur hisse pe bhi lag sakti he, toh isme kya ikhtiyaar rakhna chahiye?

Mazi kya he?

Q: Mazi issi ko kehte hai na mufti sahab peshaab ki tarah hoti hai lekin chipakti he ye bata dijiye aur mufti sahab jab kapro mein lagti hai tou is ko pani se do le ya phir sabon laga kar saaf kare?

Mazi nikalna

Q: Mera sawal ye he mujhe mazi ke qatray ate hai kissi larki se baat karlon ya phir koi cheez dekh lon aur jab ghusal karta hun jab bhi ate hai kiya is se ghusal waapis karna parey ga aur kiya mazi nikal jay tou kia ghusal karna parta hai?

Kapra phenkar ghusal karna

Q: Agar paak kapra phen kar ghusal karta hu our jism me paani jaisi napaaki lagi huwi he to gusal karte waqt jism se napaki dhote huwe napaaki milkar jo paani niklegi wo paani kapre par lagne se kapra napaak hoga kya?Jitna jaldi ho sake aap mera jawaab dejiye me aapka jawab ka intezaar me hu.

Napaak kapra phenkar ghusal karna

Q: Me is baat se bohot pareshaan rehta hu key meri lungi, shalwaar par paani jaisi najasat lag kar sook jane ke bad os kapre ko phen kar ghusal karne ke waqt kapre me napaaki nazar nahi athi hai, our aisi halat me to poore kapra dhowna behtar hai, (owr poore kapre ko dhone ke liye kapre ko badan se otharna parega tabhi poore kapre ku dhowna mumkin hoga.) Lakin mey jaha rehta hu waha par ghusal khaana nahi he jiski wajah se me poore kapre ko dho nahi pata hu. Me gusal karne ke bad kapre ko dho kar pak karta hu. Owr islye muje bohot shak hota he ke mera badan paak huwa ke nahi. Ab apse mera sawal yah hai key is tariqe ke napaak kapra phenkar gusal karne se mera badan paak hoga kya?