Shaadi

Waleemah

Q: Humari shaadi ku 5 month hue or humne ab tak walima nai diya humari neeyat h dene ki par kuch financial problems ki waha SE hum de nai pai to kiya ye gunah he? Humari shadi behot sadgi se hue sirf nikah hua or mujhe rukhsat kar diya gaya mere ghar wale meri shadi ke liye tayar nai the meri ma or mera bhai dono hi naraz the mera bhai mere nikhe me sharik tak nai hua or meri ne mujhe bas aise hi bhej diya rukhsat kar ke kisi ko bolaya tak nai mere walid ke khandan me kisiko bataya bhi nai. To kiya zarori hai mere waleme mein mere ma bhai ka ana.

Khatarnaak kalimaat

Q: Mere showhar ne mujhse kaha ke tu Hindu banja, Christian banja, church chali jaa. Kya isse mere shauhar aur mera nikah toot jaata hai aur agar mujhe fhir se nikah karna hoga aur agr main nikah nahi qabul karna chahti tu kya main is bunyad par apne shauhar se alag hosakti ho aur kya mujhe talak ya iddat lag jaati hai ya fhir unka talak dena mujhe zarori hai unse alag hone ke liye aesi surat me kya karna chahiye pls bataye aur kya is baat par mujhe talak lag jaati hai?

Razaa'at me shubah

Q: Mujhe aapse ye baat karni ha. Mere cousin ha mare ami na os ko dod nahe deya laken os na sirf apna sena sa lagya ta or ma os time 1 haf saal ka tha. Abe mare ami bolte ha ke muja pata nahe ka os na dod peya ha ya nahe os na sirf 1 mint ke leya sena sa lagaya ta keya mara os ke saat rishta hota ha ke nahi?