Shaadi

Court marriage

Q: Maine aapne walidean ke izazat ke bina court married aur nikaah ki thi jab unnhe bataya tu unhune mujhe ghar se bhaga diya main ab apne shohar ke sath rehti ho tu kya hamara nikaah mana nahi jayega kya humlog ko phir se nikaah karna hoga mere walidean ki izazat ke sath aur main shaikh ho aur mere shohar sayyed hai tu kya isse hamara nikaah par kuch asar hoga?

Nikaah beghair gawaaho

Q: Main or ek lari ek dosre se mohabbat karte hain. Hum ne kuch arsa qabal ba waou ho kar Kalmay parh ke Allah or US ke Rasool (Sallallahu Alayhi Wasallam) ko haazir naazir jaan ke gawah bana ke rishta banaya. Mian biwi ka or ek paper par likh ke signature bhi kiye. Kuch arsay bad main hum ne nikkah bhi kia fone par. Us ke waleden chirr ki waja se razi nahi thay so hum ne kar lia or socha man jain gaye to bata ke rukhasati kar lain gay. Us ke parents ne us ki shadi zabardasti kahin kar di or usay itna majobour kia ke wo bol na saki. Sawal ye hai jo paper jis ka zikar main ne pehlay kia kya us ki sharai hesiyat hai or us bad hamaray nikkah ki or us ke bad us shadi ki jo us waleden ne ki. Us ki us shadi ki ehmiyat kya hai jab ke us nikkah se pehle wo mere nikkah main hai?

Susar bahu ke saath zabardasti se haraam kaam karna

Q: Mera friend hai jo buhut pareeshan hai us ki shadi ... me howi he. Aik din un dono ka aapas me gihri larai ho rahi the dono apne Room me bethe(sitdown) the tu us ki bivi ne kaha keh hum(we) ghar change karwate hi app ka walid (father) mujh se zabardasti karne ki koshish karta hi. 1"2 baar me subah ki time namaz parney uthi aur namaz parhi aur ainey me baal kangi ker rahi thi gar wale su rahey the aur mujey pata nahi chala keh susar peechay se aathe howay us ne mujhe peechay se pakra aur mere pistan ko pakra aur me ne apne aap ko apni taaqat (power) se alag kiya phir teesri baar us ne mujhe zabardasti se pakra aur poori qoowat (power) se mera qamees utha kar (qamees ko utara nahi) mera pistan ko muh me liya aur phir me ne apni zoor se apne aap ko alag kiya. Lihaza mera doost keh rahahi ke us ke baad me ne bivi ko kaha ke dubara us ke (father) ke muh na laga karo is ahtiyad se us ne (father) ne dubara kuch kaha nahi. Ab baat ye hi keh mera doost(friend) keh rahahi keh me ne internet per urdu fatawa parh (read) rahatha ke me ne achanak nikah ka fatawa parah (read) jis me likha huwa tha ke susar ka bahu se cher char se ya bosa lene se bahu apni shohar (hasband) per hameesha hameesha keliya haraam ho jathi hi. Lekin mera (friend) keh rahahi keh susar ne zabardasti karne ke koshish ki hi lihaza mera friend buhut pareeshan hi kisi mufti se na; me baat karskta hu aur na who. Hum ne is liye aap ko message bheja. Mere friend ki do beteya (2 daughters) hi aur apne bivi se buhut had tak pyaar (love) karta hi be intiha? ab aap islami masalah batadey Allah aap ko apne aman me rakhe mere friends ki haalat din ba din bighirthi ja rahi hai.