Shaadi

Maa baap nabaaligh larki ka nikaah parhaana

Q: Hamary gaon may ek larki ka nikah huwa tha. Uski age one month thi ab wo larki near 23 year hogai hy or ab wo larki us nikah ko nahi manti jo usk walden nay parhaya tha bachpan may. Ab jis larky ke sath nikaah huwa tha wo usko nahi chorta or larki us nikah ko qabool nahi karti. Ab larki court may jay ya wo nikkah shariat may jaiz nahi he or court wali talaaq shariat may jaiz he ya nahi?

Biwi ka seena dekhna owr dubana

Q: Mera sawaal ye ha ke me apni biwi ka seena dekh sakta hun use duba sakta hun ya use chos sakta hun ya nahi. Please mufti saab muje iska jwb jaldi di jiye ga or islam main mard or aurat ke gusal ke barey main btaiye ga ke dona ka ayk jaisa gusal hota habya mard ka alg or aurat ka alg hota ha. Please jawaab zuror dijiye ga.

Beewiyo me baraabari karna

Q: Kya koi admi dusri shadi krne ke liye ye khe ki pehli ko tlaak de di h zbaani or shadi ke baad likhit me bhi de dunga or dusri shadi ke baad Phli biwi or Uske bchcho Ko hi saare hq deta h or dusri ko Sirf Kuch hi maamuli se hq deta h isse kya Muraad he?

Showhar biwi ka haq ada nahi karsakta

Q: Mera ye sawaal hay aap se meri shaadi ko 7 saal hogaye hen or abhi tak me ne biwi ka haq aada nahin kia? Bohot jaga ilaaj bhi karwaya lekin koi faida nahin hua? Me aap se poochna chahta hun ke kia mujhe is ko farig kardena chaheiy ya nahin jab ke aab wo meray saath nahin rehna chahti hay or khula ka mutalba kar rahe hay? Or agar me is ko Talaaq de do to is ka tareeqa kia hay or mujhe kia karna chaiey?

Khalwat-e-Sahiha

Q: Khalwat-e-sahiha kia hai? Kia ruksati se pheley nikah ke bad hath milana, chehrey ka bosa leyna jab ke sexual relation na ho na irada ho na moqa, khilwat e sahiha kehlaeyge?