Shaadi

Saas se zina karna

Q: Agar koi banda apni mother in law (saas) se zina ka murtakib hota he, to us ki nikah ki Shar'ee hasiat kia rehti hy? Nikah toot jata he ke nahi? Agar toot jata he to dowbara kis tarah nikah ho ga? Us bury ghaleez kaam ki saza kia banti he? Agar nikah toot jay to dowbara kis tarah ho sakta he?

Na mahram mard se baat karna owr ghalat talluq rakna

Q: Mai buhut bari gunaahgaar hun. Mai nay apnay shohar ka dil doosri dafa buhut buri tarah say thora hai, mai aesa nahi chahti or na hi ye jaan k karti rahi lakin pata nahi mujh say kyun ye dobara sarzad hua. Mai apnay shohar k peet peechay doosray mard say baatein karti thi or ye shadi k baad doosri dafa hua hai or dono dafa mai pakri gaye. Is dafa mera shohar mujhay maaf bhi nahi kar raha, mera shohar buhut hi shareef or acha insaan hai, mufti sb mai abhi bhi osay poora sach nahi bata paa rahi kyun k wo mujhay chor dai ga. Mai os k saath rehna chahti hun, mai sirf os say mohabbat karti hun, mujhay koi wazifa batayen k mai gunaaho say bachi rahun. Mai nay Allah say sidq-e-dil say tauba kar li hai, kasam thornay ka kaffara bhi ada kar rahi hun, mujhay koi wazifa batayen k mera shohar mujhay maaf kar dai or hamari zindagi theek ho jaye. Maali haalat bhi buhut kharab hain or meri do bachiyan hain wo bhi mujh say dur hain. Please madad farmaye. 

Biwi ki taraf betawajjuhi

Q: Kya Islam mein koi cheez ya baat manhoos hoti hai? Agar husband wife se kahe tumhari manhoos baton ka koi jawab nahi, wife ko aisi sentence par kya kehna chahiye? Wife ne husband se poocha tha ki kya falan mahine humlog saath rahenge. At present they are not living together due to visa problem.

Nikaah ke maamale main maa baap se mashwarah karna

Q: Mene ak ladki se nikha kia he or nikah ki tarkeep ye hui ke usne mujhe phone per apne wakeel bna ker kr kaha ke khud se mera nikah krlo phr mene apne 2 aakil balig doston ki mojoodgi me kaha ke mene fulah binte fulah se 10000 rupe hak mehr per nikah kia.hum dono aakil hen balig hen or hum dono ke kuffu bi ak hen hum dono QURESHI hen ab mujhe ye maloom krna he k kia humara nikah ho gaya he or mere doson ne gawahi to de di mgr aitraaz kia ke qazi ke bagair nikah ni hota to unke aisa kehne se nikah me kuch ferk to ni padega plz mujhe jawab den.