Aqeeda

Waswasa

Q:

1. Mera bata muj da mizaq ker raha tha kehnay laga mama Allah Ta'ala na dunya (world) mein aik shukhs pagul pagul (abnormal) pada kia ha owr wo kon ha? mein na mizaq mein apnay batay ka nam jo ka Samiullah ha keh dea sami owr 2 ya 3 second ka bad ullah keh dea ab Shaitan waswasa dalta ha tum na nauzubillah Allah ka bary mein asa kaha ha mujay btain es sa mujay gunah to nahi houa owr mery iman owr nikah per to aser nahi houa?

2. Apnay shoher sa bat kertay houy tunz sa ya keh dea hum to bary momun hain hum kisi ko kia keh suktay hein. pleez mujay in fikroun ka bary mein btain ka in sa mery iman owr nikh per to aser nahi ho ga

Kufriya kalimaat ki wahem

Q: I am writing this so please tell me about my wording. As I was talking to my husband regarding some issues I said (k jis Allah ny jahn tk pouhchaya tu Uss ny mary liya acha hi socha ho ga) issi tarah ki baat ma na ki. Pouchna ha k ya koi kifriya baat tu nahi ha naa bas m thori prashan ho gayi hon wahumki. 

Kufriya kalimaat kehne ka khauf

Q: Mera swal ha mera beta baher jany ki zid ker raha tha mein na mana kertay huay ya keh dia mein na nahi jana itni koft (oijun ) hoti ha namaz bhi perhni houti ha jo ka sahi trah nahi perhi jati es trah (2) bar kaha (2) owr mein na kud kalami mein keh dea keh jaza owr saza Allah ka kanoon (law) ha kia ya fiqray kofreya hain mujay in sa gunha to nahi ho ga

Kufria kalimaat

Q: Mai ne aik gana suna jis main ye jumla tha "sab dhokay hain taqdeeron ke" mai ne ye jumla khud se gaya bhe tha. Plz mujhe batain kia ye kufria kalima hai or kia es se insan islam se kharij ho jata hai. 

Daari ka mazaaq uraana

Q: Sir yeh suna maine ke darhi ka mazak urhana goya Sunnat ka mazak urhana or Sunnat ka Mazak urhanay wala Islam say kharij hojata hay or biwi mzak orhaye to shohar k Nikah say kharij hojati hay.... yeh bat recently pata chali hay mujhay.. mera sawal yeh hay jab may is mslay ko nahi janti thee tab may husbnd say yeh kehdeti thee k darhi banvaw hoosh lagrhay ho like yeh b mtlb hargz nai hota tha k darhi saaf krwale puri, set krwale yeh hoti thee wish etc irada hrgiz darhi ka mzak urhana nahi hota tha or mere shohar permanent darhi nai rkhtay hamesha ab rkhnay lagay hain wo bhi halki..or na he mujhay pata tha k Islam say kharij hojata banda to mera irda hargiz shirk krnay ka nahi tha... kia is say Nikah tootgaya? Koi fark para?

Alfaaz jo khatre se khaali nahi

Q: Agar kisi aurat mn mundarja zail kalamat bolen hn to is sy nikkah to nhi toot jata or aisi aurat k saath kia burtao kia jaye.

1. Ya ALLAH mn tjhy kion nazar nhi aati

2. Too kahan hy ya ALLAH.

3. Mn tumhn apna shohar hi nhi manti.

4. ALLAH kry too mar jaye. ghar nikalty hoye kahy k ALLAH kry teri laash hi ghar mn aye.

5. Apny shohar ky har rishty daar k samny shohar ki burayan krti ho.

6. Muhally mn har bundy ko apny shohar ki shikayeten lagaye. Sharyat ki roshni mn mehrbani farma kr bta den. 

Kufriya kalimaat kehne se nikaah toot jaati he?

Q: Mera sawal ye hai k kufria kalimat se insan kafir ho jata hy aur nikah bhe toot jata hy. Talaq k jaisay 3 chance hotay hain kia isi tarha kufria kalimat ki wajah se b nikah totnay k 3 chance hotay hain. Dusar hum log aksar school mai class fellows ko result k waqt mazaq me kaha kertay thy "aye iman walo tum per supplian(compartment) farz ki gai hain jesa k tum se pehle logon per ki gai thi" Qurani ayat ko mazaq k lye istemal kia. Kia ye be kufria kalimat hain?