Aqeeda

Allah Ta'ala ka wujood

Q: Jis ky samny wajood se jism murad lety huwy Allah ky baray mn kha k Allah wajood se pak hai to kia ab uss ko sahih baat btana lazmi hai ky mera mtlb ye tha k Allah jism se pak hai aur wajood mn kesi ka muhtaj nhi hai.

Taqleed

Q: Charo Imam saheeh hai to kya charo ko mila kar follow karna kaisa hai? Kya maslak ko badla ja skta hai ek se jyada bar?

Tableeghi jamaat ka maqsad

Q: Aaj kal dawat ka kaam ka rukh badal gaya hy, maulana saad sb ne is tarteeb ko badal daali hy. kuch saal pehle log jab 3 din bi lagate tho zindagi me bohat tabdeeli aati thi,kyu ke us waqt log deen ko seekhne ki tadap se nikalte the.

Lekin aaj 4maah bi lagaye, tabdeeli tho alag baat, kuch bane huye log bi bigad kar aarahe hy.q ke is waqt log qurooz ko hi asal samajte hy,na ilm ka shouq, na zikr ka.blke in aamal ko dawat ke mukable me nazarAndaz kiya jaaraha hy.

My tho samajta hu ki in sab ki wajah maulana saad sb ka banaya hua naya tarteeb hy, aur unke naye naye azeeb bayanat jisme wo quran , hadis wa sirat se galat meanings nikal kar ummat saamne pesh kar rahe hy.awaam ki mind wash kar rahe hy,jiski wajah se awaam madaaris wa khanqaho se alag hona tho alag baat bohat saare in deeni shobe waalo se dushmani tak kar rahe hy.

Isiliye kaam ki hifazat k liye maulana ibrahim dewla sb d.b jaise bade akaabir markaz ko chor kar hijrat karna pada. maulana saad sb ki bayanat se naraaz hokar darul uloom, mazahirul uloom, jamia dhabel, kashiful uloom madras,gijarat ke kayi madarise haq, jamiat ulema wa majlise ulama south africa aur mufti ebrahim desai sb,m mufti ahamad sadiq desai sb aur bi bohat saare bade bade ulama se fatwe aaye hy.haji abdul wahab sb, maulana tariq jamil sb jaise pakistan ke akaabir bi maulana saad sb se bilkul raaji nai hy,wo kisi ki baat ko parwa nai kar rahe, jhooti ameer ki daawa karte huye logo ko jabardasti se jhooti bayyat kara rahe hy.

Itne saare ulama wa mshaikh unko samjhane ke baad bi maulana saad sb me jara bi change nahi aaya hy.wo ab bi pehle se jyada galat bayanat kar rahe hy, jinse ummat me jhagade aur bi jyada hoagaye hy.kaam ka maksad , tareeqa, tarteeb sab badalte jaraha hy.

kya ham aisi haalat me maulana saad sb (jinka bado ki sohabat me tarbiyat nai hui hy, aur jin par kayi ulama e haq ki gumraahi ke fatwe hy)kya ham unki galat galat baato ki itaat karte huye unse jude? yaa fir, markaz ke bohat bade purane maulana ibrahim sb, maulana ahamad laad sb, maulana yaqub sb, hazrat faruq sb etc ki itaat karte hue, unki rehabari me kaam kare jo hamare pichle dono hazratji ke mubarak zamana dekha, unki sohabat me kaam ko seekha, aur ummat ko ulema wa mashiakh se jodne ki har hamesha kosish kar rahe.

Aaj ham bohat pareshan hy ham kinki rehabari me kaam kare?

Ilm-e-ghaib

Q:
1. Agar Allah ke Rasool ko ilm-e-ghaib nahi tha tab ye bataye ke jo ghaib ka ilm Allah ne Rasool ko ata kiya uss ilm ko kya kehte hai?

2. Kya Fuqaha aur Muhadiseen me se kisi ne kaha hai ke Allah ke Rasool ko ilm-e-ghaib nahi tha, agar kaha hai tab Fuqaha ka qaul kitab ka hawala de.

Dikhaawe ki namaaz parhna

Q: Mai ye puchna chahti hun ke mujhe ihtilaam hua aur waqt kam hone ki wajah se ghusl nhi kia aur namaz parhne ki jhonti acting ki kyunki mai mai apni maa ko sharam aur haya ki wajah se bataa nhi sakti thi lekin mere dil mein dikhaawe ki namaz parhne ka koi iraada nhi tha bass sharam ki wajah se bataa nhi paayi meri maa mujh se sawaal karti. Toh kya maine shirk kia hai? Agar haan toh kya iski taubha ki ja sakti hai.