halaala

Halaala

Q: Mera sawal yeh hai ki mere saale ne apni biwi ko 8 mahine pahle 3 talaaq de di thi phir ek maulana sb ne kaha ki 3 tallaq 1 hui tum ruzu kar sakte ho usne talaaq ke 1 hafte baad ruzu kar liya ab usse 8 mahine baad pata chala ki yeh galat tha ab uski biwi halala nikah karna chahti hai to kya ab nikah se pahle usse iddat guzarni hogi jabki talaaq 8 mahine pahle hi ho gayi thi ab tak jo sath rahe woh to haraam hi tha ab shariyat ka kya hukm hai halala nikaah k liye.

Halaala

Q: Mera sawal yeh hai ke agar kisi shaks ne zohar ki namaz ke baad halaala nikah kiya aur uske baad din mein hi mubashrat ki aur 1 ghante baad talaaq de di to kya halaala nikah ki sharait poori ho jayengi?

Halaala

Q: Mera sawal yeh hai ki sauhar ne apni biwi ko ek sath 3 talaaq de di hai aur ab woh dono bachchon ki khatir phir se sath rahna chahte hai isliye usne apni biwi se kaha ki tum mere dost se halala nikah kar lo aur mubashrat k baad woh tumhe talaaq de dega biwi ne uske dost se nikah kar liya aur sabiq sauhar ne apne dost ko nikaah se 2 din pahle halala ka masla bata diya tha ki admi sohbat karne k baad halala nikah mein talaaq de deta hai uske dost ne aisa hi kiya nikah karke sohbat karne k 20 minute baad 3 talaaq ek sath de di to kya ab woh dono phir se nikah kar sakte hai?

Halaala

Q: Mera sawaal yeh hai ke mere dost ne apni biwi ko teen talaaq de di hai. Ab woh dono fir se sath rahna chahte hai to kya halaala karna hoga? Halaala nikah ka sahih tareeqa bata de.

Halaala karne wale showhar ki madad karna

Q: Mera sawal yeh hai ki agar koi shaks alni biwi ko talaaq de de ahr halala nikah k baad agar uska sauhar humbistari k liye hotel mein jaaye aur uske pass paise na ho to pahla sauhar agar hotel ka bill pay kar de to koi buri baat hai aur humbistari k baad woh talaaq de de aur uske pass apne watan jaane ko paise na ho to pahla sauhar yeh kahkar paise de ki yeh hum tumhe udhaar de rahe hai to kya sahi hoga yeh halala fees jo log kghte hai usme to shumaar nhi hoga?

Halaala

Q: Hazrat mera sawal yeh hai ki mere dost ne apni biwi ko do saal pahle teen talaaq de di thi. Tab ek maulana ne kaha ki teen talaaq ayk hi hui aur woh dono sauhar biwi ki tarah rahne lage abhi ayk mahine pahle uske ghar ayk alim sahab aye aur kaha ki yeh galat hai bagair halala nikah ek sath nhi rah sakte magar ab iddat ki zarurat nhi kyuki do saal pahle talaaq do gayi thi ab tak jo sath rahe woh haraam hai tab mere dost ne apne bhai k sath turant nikah karwa diya aur humbistari k baad usne talaaq de di ab woh iddat poori kar rahi hai kya ab woh iddat k baad pahle sauhar k saath nijah kar sakti hai.

Halaala

Q: Meri shadi 15 September 2013 mai hui thi. 18 April 2016 Mai husband ne talaq de Di us waqt Mujhe 2 month ki pregnancy bhi thi. Agle din Mai Ghar aa gayi aur Maine abortion kara Lia. Phir 3 mahine k bad hilala bhi ho gya kyu k ham phir se ek Hona chahte hai. Ab hilala k bad iddat 3 HAiz batai ja rahi hai. lekin mujhe Haiz nahi ho rahe hai kyu ke wash karne ke bad suna h kisi ko 6 mahine ya sal tak bhi Haiz nahi hota. Lekin ham jaldi milna chahte hai. Doctor ki dawa bhi kha ki lekin Haiz nahi ho raha he. Mere husband keh rahe hai ke ye bimar hai. Tum ek kam karo 15-15 kar Ke 45 din Mai 3 hez ki iddat Puri kar kr Ke mere pas aa jao. Nikahkar ke dobara. Ab mera sawal ye hai ke Mai is trha apni iddat Puri kar k unse dobara Nikahkar kar Sakti Hun kia. Kyu ke mere do bache hai. Ak beta h 2 sal ki aur ek beta h 1 sal ka.

Halaala

Q: As per law of Shariah, divorce happened between me and my husband as he said talaaq thrice. Now he wants me back. What is the proper way of halaala?

Teen talaaq

Q: Ayk hi majlis men teen baar talaaq kah den or hafty ke ander wakel ke zareay talaq ke papers jin men ten martaba talaq ke alfaz lekhy hoty hen. Is wakey ko 9 maheny ho chuky hen. Ab dobara aik hona chahty hen tu kia mamlat hn gy?