Zakaat ke masaail

Susar ke karobar ki zakaat ka nikaalna susar ke intiqaal ke bad

Q: Hamare susar sahab ka ek business tha rent ki shop me sanitary k saman ka. Kuch arsa unho ne us shop me kaam kiya magr thore time k bad wo shop mere husband ko kaam krne k liye bitha dya lekin mere husband us karobar k malik nhi hain. Ab susar sahab ka inteqal hochuka hai to wo karobar warasat me shamil hogya q k mere husband ki milkyat nhi tha. Ab us karobar ki zakat ka tareeqa kar kiya hoga zakat nikalna chahty hain tareeqa kya hoga or warasat k karobar me bhi zakat wajib hai ya nhi? 

Zakaat qardh nahi he

Q: 8 saal pehle, mere sasural ke door ke rishtedaar bhaabhi ne mere bhai ke cancer ke ilaaj ke liye 30,000 rupees zakaat ke paise diya. Ab itne saal baad, un ke shohar mujse waapas woh zakaat mang rahe hai. Mere sasural ke sab rishtedaar ko phone kar ke mare qarza leke wapas nahi de rahi hoo, larke muje badnaam kar rahe hai. Me ab kya karoo?

Salary par zakaat

Q: Goverment mulaazim ki 1 year salary jo nisaab (zakaat) se ziyada ho us par zakaat farz ho gi? Kyun ke salary ki raqam tu waqfa waqfa se aati he aur yeh ke aik bar jis raqm ki zakaat de di gayi kya ainda do barah phir aglay sal us par zakaat farz ho jaye gi?

Gari par zakaat

Q: Mere paas eik ghari hai apni zaati. Wo maine apny istemaal ke liye bhi aur taxi use ke liye bhi rajhi huwe hai. Kya muj par uss ghari ki total qeemat per zakaat farz hai ya nahi?