Zakaat ke masaail

Sadaqah owr khairaat ka sawaab

Q: Mera sawaal ye hai apse ke mere abbu or bhai jo paisey kama kar laate hai or ami us paison ko Allah ki raah mai kharch kare jese zakaat nikalna khairaat karna gareebo ki madad karna to iska ajar kis ko milega bhai or abu ko ya ami ko yar phir ami abu or bhai ko kyun ke ye paisay to bhai or abu kama kar laatey hai phir Allah ki raah me kharch ami karti hai jis me bhai or abu ki bhi marzi hoti hai to zara aap detail me bataye apki meherbani ho gi.

Zakat monthly ada karna

Q: Kya last year ki zakat qistoon me ya monthly di ja sakti hai? Agr nahi to jo zakat(Poori ya aadhi) ada kar di gai ho wo doobara deni hogi ya jo aadhi wajib ul ada ho woakathi de day? Zakat ke paiso se ghareeb ko khana khilaya ja sakta hai? Her mahine zakat ke thore paise alaq kar ke sal poora hoona par zakat de ja sakti hai?

Waraasath ke maal par zakaat

Q: Mera abu ke foth hona ke bad hamara ghar ami ke name ho gia. Ammi ke foth hona ke bad ghar kuch arsa rent par raha gis ke rent bhai lata tha. Ba'd me ghar khali kar walia or ghar 2,3 sal band raha ab ham ne ghar sale kar dia he. Ham 3 sisters or 1 bhai hain. Mojhai mera hisa mila 3,4 months hoi hain. Kia mujh par zakat ami ke foth hona se lekar ab tak jab ke mojhe jo hisa mila ha usko sal nahi hoa ha jo ek zakat ada karne ke lia zarori ha.

Sowne ke upar zakaat

Q: Mere wife ke saat zewaraat hai 10 tola, abe us ke 1 saal pore hone ko hai, abe wo zewaraat ka market rate per zakat de ga ya jis rate pe leya hai use pe zakat ada kare ga? dosrei bat ye hai ke kuch zewaraat wo regular used kar rahi hai to us par b zakat ho gi ya nahe? detail say jawab tahreer kare.