Ghar khareedne ke ba'd wo paise jo account me rakha huwa he transfer se pehle, kya us par zakaat waajib he?
Q: Ayk masla poochna tha zakaat ka k hum teen dost hain. Teen ne mil ke plot lia tha. So un logo ne muje payment kar di thi plot lene ke lie aaj se koi 6 month pehlay but still payment mere account main hai or plot walon ko transfer ni ki main ne jis main meri apni payment bi hai or zakat ka time aa gia hai.
1. Kiya ye plot wali payment jo accnt main pari hai iss par zakat ho gi?
2. Agr ho gi to on do larkon par b ho gi , bcz ono ne to apni taraf se payment mje kar di thi 6 month pehlay or on k lehaz se payment plot walon ko transfer ho gi? Mean ke dono larkon ne muje 3, 3 lakh de die or mere apnay bhi 3 lack hain. Total huy 9 jin main se main ne aagy plot walay ko 3 lac de die. So mere pass bachay 6 lac... account main or zkat ka time aa gia hai so ab mje batain k zkat ka hukam is par kese lagay ga?
mean kuch points hain 1- sirf mj pe lagay gi zkat ? 2-on dono par b lagay gi ?kio k wo to apni taraf se ada kar chukay hain... 3- or agr sirf mj pe lagay gi to kitni raqam pe lagay gi is 6 lac main.