Q: Me ye janta hun ke kasam todne ka kya kaffara he pr me ye janna chahta tha ke agr kisi ne anginat kasam khakr tod di ho aur wo kaffara de to puri zindge roze rakhe to zindgi bhi kam padh jayegi to aisi surat me wo kya kre? Kya Allah se agr mafi mang li jaye to maaf ho jayege sare guhaan aur kaffara bhi maff ho jayega means ke kaffara bhi ne de?
A: Qasam hee ne khaaye ke itne ziyaada kaffarah dene pare.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)
Q: Mene aapse pucha tha ke agar anginat kasam khai ho aur tod di ho to kya kre kaffare ka mujhe maloom h kaise diya jata he, to aapne likha tha k itni kasam khate hi kyo ho. Me aapko batana chahta hun ke mujhe mushtzani ki aadat thi jis wajah se me har bar kasam khata tha ke ab nahi karunga aur phr kar leta tha to kasam itni zyada hogai ke puri umar kam pad jayegi agr kaffara ada bhi kru to kya aisa koi rasta he ke Allah bina kaffare ke mujhe maaf kar de. Meri umar 24 sal h me bahut pareshan hun. Please sahi jawab dijiye.
A: Kaffarah ki aasaan soorat ye he ke ghareebo ko khilaana he. Das miskeeno ko khilaate rahe jitna aapse ho sake, aur taubah bhi karte rahe. Allah Ta`la maaf farmaadega insha-Allah.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: