Published 8 years ago
Last updated 8 years ago
Q: Mujhe ye poochna tha ke agr koi majbor kary Qur'an utha ke kasam khany ko wo bh kisi jaiz kam ke liy nahi maslan ke falan lrky se bat nah kro ge ya shadi nh kro ge to kia ye jaiz hy? Kia esy tora ja skta hy? Owr dosra ye pochna tha ke agr koi apni izzat owr jan owr ghr walon ki izzat bachany ke liy quran py hath rakh ke jhoot bol de par us jhoot se kisi ka nuqsan na ho to es ka kia kaffara he?
A: Aysa nahi karna chaahiye.
Agar qasam tora to kaffaarah adaa karna chaahiye. Qasam torne ka kaffaarah 10 miskeeno ko do waqt ka khana khilaana ya har eik ko sadaqatul fitr ka miqdaar dena ya har eik ko kapra pehnana jis me wo namaaz parh sakte.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: