Q: Meri ammi jaan 44 saal ki hain aur walid 52 saal k. Unki shaadi ko bees saal ho chuke hain. Pichly hi hafty mere walid ny meri ammi per tuhmat lagai aur walid ka shakk humne door bhi kia. Meri ammi aik working lady hain. Wo hum teen behn bhaiyon k liye kamaati hain aur equally ghr ka khrcha chlati hain. Pichly hafty mere walid ne baniyat 2 talaaqein dien. Mere 2 chacha humary ghar aye aur meri ammi ki buhat be izzati ki aur humein raat k 2 bjey ghar se nikal jaany ki dhamki bhi di. Meri ammi ne buhat dukh dekhy hain aur hum unky bachyy isky gwaah hain k meri ammi aik pakeeza aur naik khatoon hain. Mere abbu abb keh rahy hain k wo humari maan ko talaaq de k ghr se nikaal dein gyy lekin hum apni ammi k saath hi rehna chahty hain toh iss maamlay main islami taalemat kya hain?
A: Maa ko sahaara dena dharoori he har qisam ki izzat aur ihtiraam ke saath. Har qisam ki khidmat aur raahat pohonchaane ki niyyat kare. Baaqi ghalat tuhmat lagaana bohot hee bad tareen gunah he. Agar abba ko rok nahi sakte to kam se kam usko bura samjhe.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: