Mazi nikalne se wudhu toot jaata he

Q: Baat ye he ke kuch mahine pehle meri shaadi huwi he or me ab waapas Sharjah aagaya hu mera masla ye he ke ab me apni biwi se baat karta ho to nafs me tanaao ke sath kuch der bad thora sa paani nikal ata he me is masle se bohat perashaan hu kyunke ke me namaaz parna chahta ho baraaye meherbaani muje ye bataye ye kiya he or kiya ye napaki or najs he or is haalat me namaaz parne ka kiya hukam he or namaz parne ke liye kiya kya jasakta he?

A: Paani nikalne se wudhu toot jaata he. Wudhu duhra karke namaaz parhle.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)