Ma'zoor

Q: Mujhe safed discharge ka masla he. Har namaaz se pehle istinja kar ke naya wudhu karti hun. Aksar namaz ke darmiyaan ye mehsus hota rehta he ke discharge ho raha he, kai martaba namaaz tor kar dobaara istinja karke wudhu karke phir namaaz parti hu. Iske baare me kya hukm he? Namaaz me jab bhi aur jitni baar bhi discharge mahsoos ho kya namaaz tor dena chahiye?

A: Agar aap mazoor he to har namaaz ke waqt ke shuroo me wudhu kare phir us wudhu se namaaz parhe. Discharge ke nikalne se wudhu nahi tootega. Ma'zoor ke ahkaam dekhne ke lia is link ku dekho http://muftionline.co.za/node/14076

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels