Kisi ko qasam khaane par majboor karna

Q: Agar koi aap se zabardasti Quran ki kasam khilwaye ke aaj ke bad ye kaam nahi karna jab ke samne wala insan kasam khane ke liye taiyyar na ho or kasam kha ke wo bat ni karna chah raha ho phir bhi usko majbur kar ke Quran ki kasam khilwayi jaye to kiya us kasam pe amal karna zaroori hoga? Kyun ke mujhe har choti bat pe Quran ki kasam khilwai jati ha zabardasti un baton pe jis pe me amal ni karsakti pabandi se. 

A: Kisi ko qasam khaane par majboor karna saheeh nahi he. Jo aadmi aisa kare, wo ghunegaar hoga. Leikin jis aadmi ko majboor kya gaya, agar wo qasam khawe, to qasam waaqi hogi aur us ko poori karna us par waajib hogi. Agar wo qasam ko torde, to us par kafaarah waajib hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)