Q:
1. Meri ammi ka intaqal ho gaya hai kuch mahine pehle. Unka gold hai. Jab woh zinda the to kaha tha mere baad meri betiyon ka hai. Ab woh kaise taqseem karen? Bhai ka kya hissa ho ga?
2. Unho ne kisi ko qarz dia tha aur kaha tha agar me zinda rahon to mujhe dena warna meri 4 betiyon me baant dena. Is ke bare me please wazahat farmaye. Kya is me se bhi bhai ko dena hai? Kya bhai ke 2 hissay aur bahen ka 1 hisaay ke hisaab se hi taqseem ho gi?
A:
1. Mayyit ne choonke apne zindagi me kisi ko hadya nahi diya, balke maut ke bad apni betiyo ko hadya dene ka iraada kiya, to ye hadya mu'tabar nahi he. Lihaza ye sona mayyit ke tarika me daakhil hoga aur tamaam wuratha ke darmiyaan taqseem hoga un ke meerath ke sharee hisso ke mutaabiq.
2. Jee ha. Qarz bhi tarika me daakhil hoga aur tamaam wuratha ke darmiyaan taqseem hoga un ke meerath ke sharee hisso ke mutaabiq.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: