Q: Mere baray 2 bhai choti umer se. Abu ke sath abu ki shop par kaam karnay lag gaye thay. Abu ne ghar khareeda or banaya. Phir abu burhay ho gaye to shop par jana chor diya. Uske baad bhaiyon ne jitni bhi property banaye wo abu ne bhaiyon ke naam kar di. Ab jab hum jo ghar abu ke naam par hai us me se wirasat se hissa ki baat kartay hain to bhai kehtay hain ye to ghar hamaray paison se liya hai. Hum choti umer se kaam karnay lag gaye thay abu sath or kehtay hain humne parhaya hai tum logon ko. Tum logon ka koi hissa nahi. Kiya hamara wirasat me koi haq nahi ya hum apna haq maang kar gunah kar rahay hain. Wo kehtay hain ami ka bhi haq nahi hai.
A: Jab ye baap hee ke naam par tha to usme tamaam bethe aur wurasaa ke huqooq he. Kisee eik ka kehna ke ye sab mera he ghalat he aur zulm he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: