Qasam ka itibaar alfaaz par hoga, niyyat par nahi

Q: Qasam ka sara daromadaar niyyat pe hota hai lekin qasam kha kar usne bola khuch or hai or niyyat khuch or thi ab isme niyyat ka ehtbar hoga ya jo qasam unhe khai thi uska hoga?

Misaal ke tor pe aik insan apne khandan mai se shadi na karne ke qasam khata he lekin uske niyyat sirf aik larki se shadi na karne ke thi tu ab aesi surat mai qasam kab tote gi?

A: Jo alfaaz qasam me istimaal kya usee ka itibaar hoga, niyyat ka itibaar nahi hoga. Aapne kaha ke daaromadaar niyyat ke oopar he ye durust nahi he, balke urf par he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)