Published 11 months ago
Last updated 11 months ago
Q: Hamare susar sahab ka ek business tha rent ki shop me sanitary k saman ka. Kuch arsa unho ne us shop me kaam kiya magr thore time k bad wo shop mere husband ko kaam krne k liye bitha dya lekin mere husband us karobar k malik nhi hain. Ab susar sahab ka inteqal hochuka hai to wo karobar warasat me shamil hogya q k mere husband ki milkyat nhi tha. Ab us karobar ki zakat ka tareeqa kar kiya hoga zakat nikalna chahty hain tareeqa kya hoga or warasat k karobar me bhi zakat wajib hai ya nhi?
A: Pehle to muta`ayyan karle ke susar ke waaris kon he aur waariseen ke hisse kya he. Jab ye maloom hoga to har waaris apna hissah ka zakaat adaa karega.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: