Shohar aur susral biwi ke ma baap se ta'alluq nahi rakhte

Q: Mera shohar apni Ami ki zeyada baty sunty jin ki wajah sy mery shohar ny mery ma bap sy taluq ktm kr rkha hai na hi meri parents mery susral aty hai na hi shohar waha jaty hai jis ki wajah sy me bht pareshan hn k mera shohar mery sath mery maiky nai jaty. Kindly is k liye kiya hukam hai?

A: Hamaari rai ye he ke aap apne ghar me apne ghar waalo ke saath Fazaa'il A'maal aur Fazaa'ile Sadaqaat ki kitaabo ki ta'leem shuroo kar le. Ummeed he ke aap ke khaawind ki sowch aur samaj in kitaabo ki barkat se durust hogi.

Is ke alaawa, aap ghar me, Qur'aan Shareef parhne ke liye, zikr aur durood parhne ke liye kuch waqt muqarrar kar le, aur har namaaz ke ba'd, aap Allah Ta'ala se dua maang le ke Allah Ta'ala aap ki pareshaani ko door farmaae, aur downo khaandaan waalo ke dilo me eik doosre ke liye mahabbat paida kare.

Issi tarah aap apne ghar se saari na jaaiz cheezo ko nikaalde (jeise T.V., jaandaar cheezo ki tasweere, ghaana, naa paak cheeeze). In cheezo se rahmat ke farishte ghar me nahi aate.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)