Quraan par haat rakh kar qasam khaana

Q: Quran pak hath rakhkar yeh kam main nahin karunga aisa kahana fir vahi kam karna uska kafara kya hai?

A: Agar Quraan par haat rakhte howe tum ne qasam khaaya ke me ye kaam nahi karonga, to qasam durust he. Agar aap wo kaam kare to kafaarah adaa kare. 

Lekin agar aap ne qasam nahi khaaya, to qasam durust nahi he. Lihaaza, agar aap wo kaam kare, to koi kaffaarah nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)