Bhai ko zakaat dena
Q: Kya hum zakaat ki full amount khud ke bhai do sakte. Kyn ke mere bhhi ki shadi hai aur amount ki zaroorat. Aisa karne se koi gunah ni hai?
Q: Kya hum zakaat ki full amount khud ke bhai do sakte. Kyn ke mere bhhi ki shadi hai aur amount ki zaroorat. Aisa karne se koi gunah ni hai?
Q: 8 saal pehle, mere sasural ke door ke rishtedaar bhaabhi ne mere bhai ke cancer ke ilaaj ke liye 30,000 rupees zakaat ke paise diya. Ab itne saal baad, un ke shohar mujse waapas woh zakaat mang rahe hai. Mere sasural ke sab rishtedaar ko phone kar ke mare qarza leke wapas nahi de rahi hoo, larke muje badnaam kar rahe hai. Me ab kya karoo?
س: زکوۃ کا مستحق کون ہوتا ہے
Q: Kia me zakaat masjid me wazoo khana bananay ke liye de sakta hoon?
Q:
1) Kia main apne nokar ko, jise hum salary bhi dete hain use zakat de sakti hon?
2) Kia main apni khala jise ke shohar berozgar hain ko zakat de sakti hon?
3) Maine sunna he ke apne shohar jo ke berozgar he ko bhi zakaat de sakte he. Kia ye baat durust hai?
Q: Kiya me apni behen ko zakaat ka paisa de sakti ya fitra ya sadaqa? Woh job karti he phir us ka ek kaam he jis ke liye us se paise chahiye bohot. Me zakaat ke zariye us ki madad karna chahti hu. Kiya kar sakti hu phir us ko nahi batana ke zakaat de rahi hu ya fitra ya sadaqa.
Q: Me ek trust me kaam karta hu jaha logon ki ankho ka muft elaj kiya jata hu. Hum logo se zakat k paise lete he aur un ko jaise logo pe hi lagate he jo zakat deserving hote he. Ab masla ye he ke hamare seniors ne new rule nikala he. Wo kehte he ke hum log direct zakat ke paise le kar elaj kar dete he jo ke Islam me munasib nahi he. Kehte he ke ab jisko bhi zakat ke paise se elaj hoga usko zakat ke paise pehle hath me lazmi dena chahiye tha ke us ke hath tak zakat pohanch jaye. Aap please ye confirm kar de ke aisi baat Islam me he ya nahi?
Q: Kiya ek zakaati idare me kaam karne se milne wali tankhwa (salary) jaaiz he? Jo salary hume mile gi wo zakaat me se di jaye gi.
Q: Me apni shop ki roz ki kamai ki zakat nikalta hou and ho paise jama ho jate hai tu us ki khane ki deg banwa k khana bant deta hou tu kya us me se hum kha sakte hai ya nahi?
Or agar nahi kha sakte tu un paiso me apna normally paise mila k banwai jaye yani dukan ki kami ki zakat or apne normally paise mila k deg banwai jaye tu us me se phir thora khanna nikal k kha sakte hai or baqi bannt dy tu kya bhether hai
Q: Ager shoher ghareeb ho aur biwi ko jahaiz mai zaiwer mila ho k us pr zakat farz ho tu biwi tutions prha kr shoher ko zakaat dai skti hai?