Dreams

Khwaab ki Tabeer

Q: Main ne aik raat Allah se dua ki ke meri shaadi kis sy ho ge, mujy khwaab main bata do. tTu main ne osi raat khab dekha ke main aur meri sister aik darga jaty hain, bhot mushkil raasta hota hai, wahan par aik adme ke gird log jama hoty hain aur os sy log sawal kar rahy hoty hain. Maine us se ja ke pochti hoon ke mere shadi kis sy ho ge, tu wo mayry dono hato main motion k pholon k gajry pehna data hai. Phir mery aank khol gae. Khawab ki tabeer bata dain.

Khwaab ki Tabeer

Q: Maine ek khawab dekha subha fazar ke time usmain yeh tak ek shaytan mujhe marne ke liye mere peche padha aur main bhaag raha hu toh usse bachne ke liye mujhe ek buzurghane din ki mazar mili aur main waha jake bachjaya shayatan mujh pe hamla nahi kar paya. Yeh mera pehla khawab. Dusra khawab yeh tha ki main kabristan main baad jamaat namaz ada kar raha hu pls aap mujhe is ka matlab batadijiye?

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khawab mein kisi ka qatal kar diya hai aur uss ka bhai mujhay qatal karnay kay liye aaya hua hai mere pass aur mein uss say kehta hoon kay mujhay maro kiun kay mein nay tumhare bhai ko mara hai plz mujhay mar do tou uss ka bhai mujhay buhat marta hai buhat buray tareeqay se mar raha hota hai lekin mujhay kuch nahin ho raha hota aur thodi der baad who mujhay marna chod deta hai aur woh kehta hai kay woh ab mujhay nahin marey ga balkay woh tou mujhay apnay saath hospital le jata hai........tabeer kia hai?

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khawab dekha kay hum sab ghar walay kisi kay ghar gaye huay hein aur hum un kay ghar poonchtay hain aur sa khana khanay chale jaate hain ander aur mein un se kehta hoon kay mein peshaab kar kay aata hoon aur mein khule aasmaan kay neechay un kay ghar mein ghaas (grass) par peshaab karta hoon aur un ka beta dekh raha hota hai mujhe peshaab karte huay aur woh makar hansi hans raha hota hai aur aisi awaz nikalta hai kay na karo koi dekh le ga..........kia tabeer hai?

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khawab mein dekha kay tv pe dikha rahe hote hain kay europe ya france mein koi bomb blast hua hai aur hua tha us kay mujrim pakre gaye hain aur hum sab apne ghar par kehte hain kay kaun thay yeh log aur phir pati nahin kia hota hai woh jaise hamare ghar mein woh 12 ya 12 saal ka ladka hota hai pata nahin kaisr hamare ghar aa jata hai aur suicide karne ki koshish karta hai aur uski ungli pay zakham buhat sakht ho jata hai aur usko sab hamare ghar par zakhmi halat mein usko apne kamre mein le jate hain aur ja kar usay leta dete hain aur buhat se log aaye hote hain hmarae rishte dar waghera..........kia tabeer hai?

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khawab mein dekha kay mein raaste mein hoon ghar se bahir aur mein kuch khata nahin hoon kiun ke mere pass paisay nahn hote aur bhooka pyasa rehta hoon aur baad mein jab mein dekhta hoon kay meri pocket mein tou buhat paisay thay aur mein aisay hi bhooka pyaasa raha.....kia tabeer hai?

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khawab dekha kay aik chupkali mujhay aur meri behan ko tang kar rahi hai aur woh moun se gand bhi phank rahi hai aur mein darr raha hoon phir meri behan uss say darna khatam kar deti hai aur woh uss kay buhat pass jati hai aur peechay se mera bhai aata hai aur woh uss chupkali ko goli mar deta hai aur woh mar jati hai........kia tabeer hai?

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khswab dekha kay mein, meri ammi, mere abu aur hamara koi guest aaya hua hai aur iss doran koi 5 ya 6 chor ghar mein ghuss gaye hain aur meri ammi bolti hain kay ghar mein 5 ya 6 log ghuss gaye hain aur mere abu aur woh guest darr rahe hain aur dekhne nahin ja rahe aur mein jata hoon aur dekhta hoon kay koi aadmi behta hua hai sofa par aur jo log uss kay saath aaye hain woh ghar kay rooms mein chale gaye hain aur mein uss ko dekhtay hi lana shuru kar deta hoon aur guest uss aik chor ko pakar kar laate hain aur mein uss ko bhi marna shuru kar deta hoon aur phir woh mujhay jaan se marne ki dhamki deta hai aur phir meri aankh khul gayee.........fajar ka time tha........kia tabeer hai?

Khwaab ki Tabeer

Q: Agar khawab mein dekhay kay koi shaks jo mar chuka hai aur uss ka khawab mein dekhein kay woh teetli (white butterfly) se khel raha hai aur woh uss ko jab pakarnay lagta hai tou woh uss se udh kar idhar udhar ho jati hai woh uss ko pakar nahin pata........kia tabeer hai?

Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khawab dekha kay hamare abu ghum ho jaate hain aur woh mil nai rahe hote aur hum bade pareshan huay hote hain aur phir meri behan dekhti hai kay hamare apne hi ghar mein aik qabar hoti hai aur mere abu koi qabar mein chunwa deta hai aur buhat ziada buray haal se mar diya hota hai aur qabar mein chunwa diya hota hai aur yeh sun kar meri ammi ko buhat sakht shock poonchta hai aur woh jin jaisi ban jaati hain aur phir un qatil koi jinn hota hai aur woh mil jata hai aur mein uss ko buhat marta hoon zameen pe leta kay aur chup chap mar khata hai mujh se aur sab meri ammi aur behan apne apne kamron mein chale jaate hain aur sab apnay kamron ke darwaze band kar ke chale jaate hain aur mein akela darwaza knock hi karta rehta hoon aur buhat andere mein darr lag raha hota hai.........kia tbaeer hai?