Khwaab ki ta'beer
Q: Mere khawab me 2 baar machli aur kala sa behta pani dekha.
Q: Mere khawab me 2 baar machli aur kala sa behta pani dekha.
Q: Mai ye janna chahata hu ke ye jo asraat baali baat hoti hai kya wo sahi hai. ek ajeeb waqiya mere sath kai saal se ho raha hai. jis ladki se meri shadi hone wali hai wo mujhse phone pe baat karti mai kyuke wo mere mama ki beti hai uske upar koi asar hota hai jab bhi wo kabhi raat m 12 baje call karti hai to uske upar jo aati h wo hi baat karti hai meri mama ki beti ko pata bhi nhi chalta ke usne mujhse baat ki hai aur na hi uske mobile m koi call details hoti aur ajeeb baat ye h ke bettery bhi down nhi hoti. phle to wo theek se se baat nhi karti baad m karne lagti hai aur jo bhi wo baat batati h mere future se relative wo sahi ho jaati h meri shadi insahallah jaldi hone wali h mujhe aap kuch raye de ke ye kya maamla hai last jab meri usse baat hui to maine usse pucha ke ager tum mere shadi ke baad bhi aa gayi to meri bibi ko koi problem to nhi hoga wo boli kuch nhi hoga. aisa kyu ho raha please mujhe bataye kyu ke mai sirf Allah se mangta hu sabkuch aur apni jindagi jydahtar deen pe gujarna chahta hu mujhe iski baato pe bleave nhi ho raha kya h ye maajra.
Q: Ma arid university rwp ka student hun hamre university main ak teacher ny islam mukhlif batain ki islam katal o ghart ka mazab hy Hazoor Paak (Sallallahu Alaihi Wasallam) ag hoty to kon kon un k sath film dkhny jata Hazoor Paak (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko ham fallow ni kar skty hain hazrt imam or yazed donu brabar hain. ham nu university main awaz uthi k thooen a rasalat ki hy us teacher ny jab k hmare university is masly ko daba rahi ha or kay rahi hy k agr awaz utahi to uni say nekal dayin gy ap ko. Aap batiy ab ham kiya kari us teachr k khalaf vc ko application b di magr vo kuch ni kar rah.
Q:
1. Aaj kal sunni moulana A'ala hazrat ka hawala de kr ye taqreer karte hain ki mazaro pr ja ka bosa nhi lena chahye, choomna nhi chahye, aqeeda chahe jo bhi ho. Ye bhi soch kr nhi karna chahye ki pyar muhabbt me kar rahe hain. Insan sajda nhi krta hai, sajda to khuda k liy hi hai sirf. Phr muhabbat me choom leta hai, bosa le leta hai. To kya ye sb nhi karna chahay?
2. Or kya qabro pr agabatti ya candle bhi nhi jalana chahye?
Q: Mera sawal ye hai k mere phophi ke barhe bete ne chote umar main mere ami ka dodh piya hai. Tu kia ab meri phopi ki beti mere nikah me asakti hai ya nahe? Mehrbani farma kar mere is sawal ka jawab dede.
Q: Aaj kal dawat ka kaam ka rukh badal gaya hy, maulana saad sb ne is tarteeb ko badal daali hy. kuch saal pehle log jab 3 din bi lagate tho zindagi me bohat tabdeeli aati thi,kyu ke us waqt log deen ko seekhne ki tadap se nikalte the.
Lekin aaj 4maah bi lagaye, tabdeeli tho alag baat, kuch bane huye log bi bigad kar aarahe hy.q ke is waqt log qurooz ko hi asal samajte hy,na ilm ka shouq, na zikr ka.blke in aamal ko dawat ke mukable me nazarAndaz kiya jaaraha hy.
My tho samajta hu ki in sab ki wajah maulana saad sb ka banaya hua naya tarteeb hy, aur unke naye naye azeeb bayanat jisme wo quran , hadis wa sirat se galat meanings nikal kar ummat saamne pesh kar rahe hy.awaam ki mind wash kar rahe hy,jiski wajah se awaam madaaris wa khanqaho se alag hona tho alag baat bohat saare in deeni shobe waalo se dushmani tak kar rahe hy.
Isiliye kaam ki hifazat k liye maulana ibrahim dewla sb d.b jaise bade akaabir markaz ko chor kar hijrat karna pada. maulana saad sb ki bayanat se naraaz hokar darul uloom, mazahirul uloom, jamia dhabel, kashiful uloom madras,gijarat ke kayi madarise haq, jamiat ulema wa majlise ulama south africa aur mufti ebrahim desai sb,m mufti ahamad sadiq desai sb aur bi bohat saare bade bade ulama se fatwe aaye hy.haji abdul wahab sb, maulana tariq jamil sb jaise pakistan ke akaabir bi maulana saad sb se bilkul raaji nai hy,wo kisi ki baat ko parwa nai kar rahe, jhooti ameer ki daawa karte huye logo ko jabardasti se jhooti bayyat kara rahe hy.
Itne saare ulama wa mshaikh unko samjhane ke baad bi maulana saad sb me jara bi change nahi aaya hy.wo ab bi pehle se jyada galat bayanat kar rahe hy, jinse ummat me jhagade aur bi jyada hoagaye hy.kaam ka maksad , tareeqa, tarteeb sab badalte jaraha hy.
kya ham aisi haalat me maulana saad sb (jinka bado ki sohabat me tarbiyat nai hui hy, aur jin par kayi ulama e haq ki gumraahi ke fatwe hy)kya ham unki galat galat baato ki itaat karte huye unse jude? yaa fir, markaz ke bohat bade purane maulana ibrahim sb, maulana ahamad laad sb, maulana yaqub sb, hazrat faruq sb etc ki itaat karte hue, unki rehabari me kaam kare jo hamare pichle dono hazratji ke mubarak zamana dekha, unki sohabat me kaam ko seekha, aur ummat ko ulema wa mashiakh se jodne ki har hamesha kosish kar rahe.
Aaj ham bohat pareshan hy ham kinki rehabari me kaam kare?
Q: Haiz ke dino main tauba parna kya jaaiz hai?
Q: Humari yaha ak kahawat hai ke ped aur usi ped ki fal ko ak saath khana thik nahi hai jaise ki pumpkin leaf aur pumpkin aksaath mai nahi khana chahiye. iss bare main aapka kya raai hai?
Q: Meari biwi meari bat ni manti bar bar gussa delati hai meari bhabi hai wo usy meary khelaf bharkati hai ye kro wo kro to husband qaboo ajy ga meary walid ki khidmat b ni krti meary bchy hain main talaq ni deana chahta likin bhot tang hon agr main bv ko aik bar talaq dy doun to talaq ho jay kia dubara usy sath rakh sakta hon aik bar tlaq de kr dubara rakh skta hon, nikah dubbara krna pary ga. Kitny arsy to
Q: Main poochna chahta hon ke kal raat main ne aik khawab dekha ha ke mery abu or teeno uncle (chachu) sub bethy khana kha rahy hain to achanak sy kisi wja sy mery darmyan waly chachu jin ki abi tak shadi nai hui ha un ko mery abu shadi k liye force krty hain or dant dety hain. Itny main baqi do chachu bhi un par chillany lagty hain or darmyan waly chachu uth k room main chaly jaty hain un k pechy pechy ye teeno yani k mery abu or 2 chachu chilaty howy jaty hain or phr thori dair bad ye teeno roty howy bahir nikal aty hain main pochta hon to mjy kehty hain khud dekh lo jaa k to dekhta hon k unhon ny apny dono thumb kat liye hain or blood nikal raha ha un sy or itny main dar k me uth jata hon kindly is ki tabeer bata dain.