urdu

Khwaab ki ta'beer

Q: Kuch mahino pehle meri badi behen ka inteqal hua hai wo physically handicap thi mujhe wo khwab me dekhi aur khwab bohot he ajjeb tha maine dekha ke hum sab apne ghar ke angan me hai aur meri behen bhi waha hai aur unke uppar shaitan hai sab intezar kar rahe hai k wo kuch hazri dengi lakin achanak se wo dono haatho aur pairo se dodne lagi aur mere taraf aae jaise he maine unke sir pe haath rakh k ayatul kursi padhna chalu kiya wo ulti karne lagi aur unki aankhain roshan ho gae aur zor zor se chilane lagi iska matlab kya hai plzz mujhe btaea.

Waalid ko dee huwi jaidaad ko waapis lena

Q: Walid ne apni zindagi main jaidaad sy ek property apne 3 beto mai sy 1 ko dy di or baqi 2 beto ko bhi barabar taqseem kr dya. lekin baad main walid sahab ab keh rhy hain ek bete sy jo property di thi wo wapas do apni marzi sy dobara taqseem karenge, jab ke property apni zabani bhi keh chuky thy or documents bhi bete ke naam kr dye thy, ab bete ke apne biwi bachy bhi hain kia un ka haq maary? kia qanooni ya shara'i kisi bhi tareeqe sy baap wapis apni jaydaad lene ka haqdaar hoga?baraay mehrbani rehnumai farmaye.

Ilm-e-ghaib

Q:
1. Agar Allah ke Rasool ko ilm-e-ghaib nahi tha tab ye bataye ke jo ghaib ka ilm Allah ne Rasool ko ata kiya uss ilm ko kya kehte hai?

2. Kya Fuqaha aur Muhadiseen me se kisi ne kaha hai ke Allah ke Rasool ko ilm-e-ghaib nahi tha, agar kaha hai tab Fuqaha ka qaul kitab ka hawala de.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mene kal raat ek khuwab dekha tha jisme mene dekha tha mere or mere hsbnd ki shadi nai nai hui h or unhone dusri shadi bhi karli kisi orse or vo meri koi bt nahi maan rahe me bht ro rahi hu jb uti tb b esa lg raha tha jese me real me ro rahi hu or sab jese real hoa ho. (real me hm dono ki shadi ko do saal hone vale he or hm dono k bich roz koi na koi bat pr ldai hoti h pehele vo meri bina kahe sbbt smj jate the or mujse bht mhobbat b krte the ab ESA lg raha h jese unhone mujhe smjna hi band or dya h..me is bt se bht preshan hu plz mujhe btae k me kya karu or hmari love merrige hui thi) or mujhe ap is khwaab ka bhi matlab batae.