urdu

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khwaab mai dekha ke bahot andhera hai aur mai qabristan ke karib khadi hun je. Yeh qabristan mere ghar ke karib hai hakikat mai hai hamare yehan qabristan. Phir age maine dekha wahan ek aurat bahot badbad kar rahi hai jo kisi ko mana kar rahi kuch karne ko mai os ke karib jati hun to woh qabristan ki taraf muh kiye howe hai mai ose puchti hun kiya bat hai to woh mujhe kahti hai ke mai inhe kab se mana kar rahi hun per Yeh mante nahi koi fayeda nahi mai puchti hun kon to woh qabristan ke andar isara karke batati hai ke woh hamare nabi hai aur mai wahan dekhti hun aur mujhe mahsus hota hai ke hamare nabi hai mustafa sallalaho alaihi wasallam jo qabristan mai hai our Qabar khud rahe hai woh aurat kahti hai Yeh tomhari Qabar hai aur osme pani bhi araha hai oper se kiyu ke hamare yeha qabristan jara dhalan mai hai aur wahan teen Qabar khudi hoi hai aur wahan mujhe Qabar khudne ki chije najar arahi hai aur jis insan ko mai nabi samaj rahi hun woh Qabar mai se pani bahar dal rahe hai masha Allah bahot khubsurat hai safed libas pehna hai our khas bat on ka libas matti our kichad se bilkul ganda nahi huwa tha aur mai Yeh dekh kar ghabra jati hun our wahan se hat jati hun. Kiya sach mai woh hamare nabi ho sakte hai plz bataiye?

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khwaab dekha ke main door khari ti. Aur aasman ke taraf dekha to door se aasman se safaid dariya jaisa pani ki laher arahi ti. Zameen tak ayee par mere kareeb nain ayee na koi nuqsan kiya. Door meri ammi ko b dekha. Wo aise hi Zameen pe gir gayee ti. Aur phir ussi khwab mein jaisa koi naher ti. Swimming pool ke size. Aur main pani ko dekh rahi ti. Aur dil mein kuch kaha kisi Arabic jaga ka naam Liya ta maine. Ke wahan ke pani bhar gaya. Aur dekha ke achanak se pani upar ho gaya. Par nuqsan nain hooya. Please bata do. Maine ishtkhara kiya ta. Yeh khwab fajr ke baht baad ayee ti.

Khwaab ki ta'beer

س: جی می دریافت کرنا چاھتا ھو کہ کسی زندہ انسان کو دو ٹکڑے دیکھنا اس کی کیا تعبیر ھو سکتی ھو کہ دونو ں ٹکڑی درمیان میں علیحدہ ہوچکی ھے کیا تعبیر ھے .جزاک اللہ خیر؟

Peshab ka shubah ihraam ki haalat me

Q: Mujhe abhi Madine se Makkah k safer krna hai ihram mai tau mujhe aese khayal araha hai k agar neend mai rastey mai kch urine ya napaki nikli tau mai umrah kese ada krngi mai bht tension mai hn? Mera sawal yeh hai k mai ihram mai pad rakh sakti hn? Or agar rakh sakti hn tau hotel akar pad remove kr k gusal krna hoga yah sirf wudu krna hoga? Or agar koi umrah bewazu kr ley tau kia pura umrah repeat krna hoga aur bal katna hoga yah sirf tawaf repeat krna hoga?

Larka ki wajah se becheni

Q: Me bohot preshan hu islie bs chahti hu mujhe Allah Tala us preshani se nikalne ka rasta dikha de. Past me jo b galtiya ki unke lie scchi or pakki tauba b krli me ek deeniyat course se b judi hui hu koshish krti hu khud ko namaz ibadat or zikar me masroof rkhu is sbse Allah ne mjhe bohot sukun dia lekin aaj b jb b mjhe wo ladka nazar aa jata he chahe mahino k baad ho to dubara dil bechen ho jata he me astaghfar b pdti hu lekin tb sukun chla jata he jbki mene us ladke se hr rishta khatam kr dia koi zariya b nai he bs use dekhte hi dil me khyal ata he usne kese mjhe dhoka dia beizzat kia or aaj b khush o khurram ghum raha he mujhe samajh nai ata ye shaitan ki traf se waswsa he ya kya he Me kya kru ab ki is becheni se b bch jao kyoki esa lgta he ki me Allah pe ykin krke sb chod chuki ki wo hi insaf krega to me udas hu or wo khush jise dr b nai lga sb krke