urdu

Qadha namaaz

Q: Falaa shaks ki bhoht qaza namaze rehgayi he and wo poori ada karne ka waqt nahi he uske paas kyu ke kaam aur aaj kal ki areshaaniyo me to bataye namaaz ka kaffaara he koi? Mene suna he jeyse fitra zakaat dete he ayse qaza namazo ka fitra bhi deskte he jisse qaza namaze maaf hojati he?

Khaawind ke jhagre me ne parna

Q: Mere shaadi ko 20 saal ho gaye 2 bachhe hain. Hum deendar hain mere shohar tagleegh me bahut saal se hain, fazail-e-amaal ki taaleem bhi ghar me hoti hai. Hum hamesha haalaton me mubtila rehte hain kahin na kahin isi wajah se mere shohar mere parents se hamesha naraaz rehte hain jabke mere parents ke bahut ahsanat hum par bahut hai. Din ba din mere shohar bahut saqt hote ja rahe hain mere parents se baat bhi nahi karte phir bhi wo mujh se milne aate hain to bhi baat nahi karte wo khud bahut samajhdar hai phir bhi main bahut samjhaati hoon wo kabhi kabhi mujhe bhi un se jhagadne ke liye uksaate hain. Mere shohar ke harkaton se mere parents mujh se naraaz rehte hain. Main dono ke beech kuch bhi theek nahi kar sakti sirf Allah se ummeed lagaye hoon. Aajkal mere shohar mujh se bhi naraaz rehte hain hum log hamesha pareshani me rehte hain Allah ki aazmaishon se hamesha ghire rehte hain lekin mere parents achchi haalat me hai shaayad isi wajah se mere shohar pareshaan rehte hain in wajahon se main aajkal mentally bahut disturbed hoon main ne mere shohar ke liye bahut qurbaniyan dee hain. Phir bhi wo mujhe gair samajhte hain un ko samajhana kisi ke bas me nahi Allah hi unko samajh de sakta hai mujhe koi aisi dua bataayiye jis se main apne shohar ka dil naram kar sakoon. Mera doosra masla ye hai ki mere father ki property ghar estate sab mila ke dedh crore ki hai hum do behne aur ek bhai hai hum 3 bhi settled hain. Mere father property share karna chaahte hain mere parents bhai ke saath hai to mera kya hissa unke property me hoga? Agar mere father shariyat ke mutaabik nahi diya to kya main demand kar sakti hoon? Ya un ke ahsanat ki wajah se chup rahoon? kya mere shohar mujhe property lene se mana kar sakte hain ya nahi agar mana kare to kya main un ke marzi ke khilaf ja kar mera haq samajh kar le sakti hoon? Mujhe in sawaalon ke jawab chaahiye mufti saahab shaayad mere liye Allah se madad aapke zariye se mile Allah aapko hamesha achchi sehat aur lambi hayaati ataa kare.

Rusoom aur riwaaj

Q: Mere chacha ka inteqal 13 ko hua and meri behen ka rasam 18 ko fix tha, par ab 20 ko rakhe qu ke saata karne ke baad karna bolre bade log. Meri chachi ghalat sonch ki hai. Unka kch lafda tha aur wo mere chacha ko paise nai lagare the aur apne bhaiyo se poochre the. So aise me kch log bolre bewa ki badwa lagegi kare to. Jab k mere waalid ki koi ghalti hi nai hai. Aise me agar rasam kre to kuch bura to nai hoga na? Aur kya mehendi lagana theek nai hoga? Please mujhe jald se jald jawaab dijiye.

Khwaab par poor i'timaad ne karna

Q: Mei ek larhky ke sath shadi krna chahti hoon ghar waly bhi maan gaye hain or hopefully nov mei shadi ho jaegi. mei ne 2014 mein us ke liye istikhara kia or khwab kuch youn tha mei ek jga pe khrhi hoon bilkul andhery mein k achanak poora chand a jata asman pe or uski chandni mery gird phail jati hai. tbi mery dil mei aya yehi istikhary ka answer hai. 2nd time phir kia to wo khawb aisy tha ek bohat brha ghar hai bilkul white chmkta hua or usky samny kuch log hain jinho ne white arabic dresses pehny huy hain or phir mery pas silver jewellery hai bohat chamk wali. 3rd time b chand dekha khawb mein. phir 3 bar istikhara kia but kuch nzr nhi aya. last time mene 9 muharram ki eat mei kia to khwab mn black kprha nzr aya. ub mujhy kindly bta dein k is sab ka mtlb kia hai?

Qardh daar umre ke lia jaana

Q: Main Dubai ma aaya hova hon or yaha se umrah par jana chahta ho by road jo ke mujhay boht sasta paray ga Pakistan ki banisbat. Mujh par meray susar ka do lack ka loan ha. Aap mujhay ye bataiye ke kia mera umrah qabool hoga agar ma qarz dar ho to kindly reply fast, I am waiting.

Mushtzani ka ilaaj

Q: Allah Ta'ala bande se farmata hai mujse bakshish mango me tumare sare gunaho ko baksh donga sab gunah mitadonga namae amal se phir new zindagi start karo owr gunah se namae amal me Allah kehan. Falah shaks hai wo daily mushtzani krta hai or daily tauba krta hai or salat tauba parta hai or roke bakshish mangta hai or uska dil me itmenan hojata hai ke Allah ne maaf kardia hai kyn Allah maaf kardeta and namae amal se sb gunah mitadeta hai. To kia wo shaks jab dobara gunah karega after one day or some days to kia uska gunah0 se likha jata hai ya woi purane gunaho me add hojata hai saza ke tor par?