urdu

Waraasat ka kuch maal sadaqa me dena

Q: Mere papa ka inteqal ko 22 din hogae jis waqt inteqal hua unke takiye ke neeche se kuch paise nikle jo humne unke name se kharch ki niyat se amant k tour pe rakhliye. Maine raat khuwab mai apne papa ko dekha wo 5kg ke qareeb aata mujhe de rahe hai or apne paise mujhse puch rahe mere paise kaha hair lao mujhe do plz aap tabeer btaiye.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mere khwaab mein meine dekha ki bohot barish horahi hai aur mein ammi mere mamu aur sab naniyal wale sab kahi ja rahe hai to mere X husband shadi ka Rukha lakar dete hai mein unko dekh kar sar par duppata dal leti hun mera duppata mere burqe ka kala scarf phir sochti hun hamara khula ho chuka hai phir duppata sar par se nikal deti hun us rukhe mein green colour se BISMILLA HIR RAHEMAN NIR RAHEEM likha huva hai aur wo bi Arabbi mein bolte hai unki dusri shadi hai september 14th mein sochti hun september 4th ko thi to ab kyun dere mere ammi puchte hai kiska rukha hai mein bolti hun mere X husband ka rukha hai bolte waqt mere X husband meri taraf bohot hi gusse se dekhte hai ammi bolte hai tumaku satane aisa bol rahe X husband jhut bol rahe hai,unke haath mein aur rukhe hai,mein ammi dusre raaste se jate hai to mere X husband piche piche ate hai gusse se. Mufti saab ap plz meherbani kar ke is khab ki tabeer batadijyea.

Rukhsati se pehle talaaq

Q: Agar kisi larki ka nikah hogya ho, aur rukshati nahi hui ho or dono ke darmiyan talaaq qaaim na hua ho aur larke ne phone call par teen baar talaaq dedi ho balke teen baar do dafa total six dafa boldia ho. To os larki ki talaaq hojaegi? Aur iski iddat hogi ya nahi?

Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki qabar ke paas kin kin ki qabre he?

Q: Hazrat zara is baat par roshni de ki jo gumbad a khzra he wo kiska mazar he baaj kehte he Sarkare do aalam (Sallallahu Alayhi Wasallam) ka he baaj kehte he ki jaha Sarkare do aalam (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki qabre anwar he waha hazart abu baqr siddique or hazart umar faruk ki bhi qabre anwar he or ek qabr baaju me he wo khali he , barae mehrbani zara is masle ko saaf karde. Me ahele sunnat wl jamaat se belong karta hu.

Esaale-e-sawaab

Q: Kisi mare hue insan maslan maa baap rishtedar pe esale sawab ki niyat se fateha padhna uske kabr pe jayez hai ya nahi? Faatiha padh ke unki magfirat ki dua karna Allah pak se jaaiz he ya nahi?

Waalid saheb ki taraf se sakhti

Q: Meri shaadi ko 12 saal ho gay hain. In 12 saalon me meray walid sahib ne kbi b meri wife ko bura nhi kaha. But 2 saal pehlay meray chotay Bhai ki shadi bradri se bahir hooi. Os ki bv intehai shatir aurat hai. Os ki wja se walid sahib ne 2 bar alehda kr chukay hain. Mukhtasir ye k wo ghr ka kaam b nhi krti. But walid sb phir b usi ka 7 detay hain. Pehli bar jb alehda kiya tha muje to walid sahib ne meray bachon se moon mor liya tha. Aur ab 2sri bar alehda kiya hai to phir b muj se, meri bv se aur meary bachon se moon mor liya hai. Muje queen hai k meray walid pr koi jadoo kiya gia hai. Q k chotay bhai ki bradri se bahir shadi pr koi b raza mnd nhi tha. Ab sb choti bhrjai k plray me hain. Muje guide kre k m is soort-e-hal me kia kroon? Q k walid sahib ne os bahoo ki khatir sb relatives se b moon mor liya hai. Walid sahib ko sirf wo aur ka paab hi nzr atay hai. Baqi kisi b rishtadar k 7 hansana bolna nhi hota.

Ghar waale daari nahi rakhne dete

Q: Mera ek question ha may darii rakhna chahta hn par mere ghar wale Nahi rakhne dete agr rakho or unki bt na Mano to wo kahte hain k hamara dil dhukhao ge tumhari namazen nahu qabul hongi tanz karte hain bataen may kya karun? Agr rakhta hn unke against ja k na to ye gunnah ha na he maa baap ki koi nafarmani ham bataen? Kya karun? Is tarhan to bohat se chezen hain wo bhi Islamic rules follow ne karte phir?

Waalidain ke razaamandi nikaah ke maamle me

Q: Agar larka or larki nikaah ki niyyat se teen janne wale aqilo baligh logo ke samne unhe nikah ki niyat batae bagair bato bato men nikah karen or kahen ke (larka puche k 'tumhe is mehar ke sath nikah qubool he?' Or larki 'han' kahe aese hi 3 se 4 bar kahen or un aqilo baligh logo ko mutawajja krte batae ke larki ko nikah qubool he or unhe mutawajja krte hue larka ijab kare or larki qubool kare to kya wo nikah hojaega? Or wo teen log nikah ki niyat na jante hue bator gawah shamil hojaenge? Please jawab zurur dijiega.